Regards,
LIVE Q/A Team
Jamiat-ur-Raza, India
فاسألوا أهل الذكر إن كنتم لا تعلمون |
|
18th July 2010 [ Dubai - U.A.E ] Urdu | Roman | English |
Question 1: Dar ul Harb mein Zakat ka kia hukm hay? |
Answer: Dar ul harb ka asl hukm to yai hay k Dar ul Harb main sakoonat aur iqamat musalman ko jaez nahi hay aur wahan say hijrat Dar ul Islam k liay musalman par lazim hay, laikin ikhtilaf e zamana say bohat saaray ahkam mauqoof ho jatay hain aur unn asl ahkaam ki jagah par doosray ahkaam jaga laitay hain iss taur par zamana ki tabdeeli k sath sath ahkam badaltay rehtay hain. Zakat aur Namaz yai hukm e ilahi hay aur yai kisi maqam aur zaman k sath khas nahi hay, jaisay Dar ul Islam main Namaz Farz hay aur Zakat Farz hay aisay hi Dar ul Harb main bhi koi Musalman Sahib e Nisab ho to uss par b Zakat k ahkam unhi sharaet k saath laagoo hongay jin sharaet k sath Dar ul Islam mein us par Zakat k ahkam lagu hote hen. Yahan yai hukm e masla zahir ho gya k jabb Dar ul Harb main sakoonat ikhtiyar kiay huay hain to ab koi wajah nahi hay k Zakat wahan par Farz na ho, Zakat b Farz hay Roza b Farz hay Namaz b Farz hay. |
Question 2: Agar kisi ki Jewelry Shop hay. Kia aik saal k baad usay Zewaraat par Zakat deni hogi? Aur agar wo Shakhs Qarzay mein ho tou kia hukm hay? |
Answer: Uss k paas jo jewelry hay, sona aur chandi, agar wo baqadr e Nisab hay ya mutaddid chand Nisab sonay aur chandi k ban jatay hain to jabb say wo unn nisabon ka malik hua un par aik saal guzar janay k baad unn tamam nisabon ki zakat uss k ooper par dena farz hay ba shart yai k yai saaray nisab uss ki hajat e asliya say, rehnay ka makan aur zindagi k liay uss k aur uss k ayaal k liay jo asbaab mataa’ aur jo kharcha zaroori hay uss ko nikaalnay k baad. Aur doosri shart yai k wo nisab qarzay main ghira hua na ho. Agar Hajat e asliya aur dain k baad baqadr e nisab fazil bachta hay to uss par zakat hay aur agar poora ka poora maal qarzay main ghira hua hay to zakat nahi hay. |
Question 3: In our Masjid, Azan-e-Saani on Jumu'ah prayer is established in first row in front of Imam inside Masjid. People say during inauguration of Masjid, one Mufti Sahab has declared that this “2 feet by 4 feet” place in front of khateeb is out of Masjid and Azan-e-Saani can be performed from here. Is his statement correct or not? If correct then the person who will performing Namaz on this “2 feet by 4 feet” place will get the Sawab of Masjid or not. Please clarify? |
Answer: I am unable to understand the reason for which the certain Mufti Sahib has considered the certain place to be ‘outside the masjid’. It should be explained and it should be elaborated so that I can pass my comments over this. However, it is not permissible to recite the azan inside the mosque, it must be recited on the certain area which is specialized for the, it is called well-known in the Islamic term as Fina e Masjid and it is specialized as entrance to the Masjid or to make Wuzu there, so the azan should be recited from this place only in front of the khateeb. However if someone performs Namaz in certain place it has been mentioned that he will get Sawab of performane of Namaz. |
Question 4: Shiyon ki Masajid mein Namaz parrh saktay hain, jabke time bohat kam ho? |
Answer: Yai masla ghaliban mujh say pehlay poocha gya, Sheeon ki masjid agar unhon nay banayi hay aur unhi ki masjid hay to uss main bay-zaroorat aur bay-Hajat e Shariah jana jaez nahi hay iss liay k yai tohmat ka sabab hay aur SheeoN k aur bad-mazhibon k maraakiz aur un k centre Jaa e Lanat hain wahan par Musalmanon ko bay-zaroorat janay ki ijazat nahi hay. Agar waqt kam hay aur koi jagah nahi hay to wahan namaz paRh sakta hay. |
Question 5: Na'ra-e-Tahqeeq, HAQ CHAR YAAR! lagana kesa? Aik Sahab ka kehna hay k aisa kehna Ahle Bait se Bughz ki Nishani hay kiun k agar iss murad Khilafat hay tou Khilafat 30 Saal ki jis ka Hadees Sharif mein Zikr hay wo Imam e Hasan k baghair poori nahin hoti iss liye ‘Haq Paanch Yaar’ kehna chahiye. Aur agar iss se Huzoor k SaHaba hain tou ‘Haq Sub Yaar’ kehna chahiye. Kia Inn Sahab k ye Aetraz koi ma'ni rakhta hay ya Bay-ja hay? Tafseel se Irshad farma dein tou bohat se Sunni Musalmano ki Islah ho sakti hay! |
Answer: Yai na’ra lagana Jaez aur Mustehsan hay aur Ahlesunnat wal Jamat ka she’aar hay aur uss k jo ma’naa unhon nay pehnayai wo na kisi Sunni ki murad hain aur Chaar Khulafaa man’nay say yai lazim nahi aataa k Hazrat e Imam HASAN radi allaho tabarak wa ta’ala anho ki khilafat jo unn ko tafweez hui thi aur phir unhoN nay wo khilafat Ameer e Mua’wiya radi ALLAHU tabarak wa ta’ala anho ko tafweez kar di, to uss say yai lazim nahi aataa k Hazrat e Imam HASAN ki shan main koi toheen hay ya unn say bughz e Ahle Bait yai ma’naa unn ki bad-zani aur bad-gumani hay. Aur yai kehna k agar murad Sahaba hain to ‘Haqq Sabb Yaar’, yahan par murad wo Chaar hain jo Deen k Satoon hain aur yai Hadees main aayaa hay Huzur e Sarwar e Aalam sallallaho tabarake wa ta’alaa alaihe wassallama nay farmaya k "main Ilm ka sheher hoon aur Abu Bakr uss ki bina hain aur Umar uss ki Deewaarain hain aur Usman uss ki chatt hain aur Ali uss ka darwaza hain." Huzoor nay inn chaaroN ki takhsees issi wajah say ki ussi wajah ko say mustanbad ham ko yai hua k tamam Sahaba bar haqq hain aur tamam Sahaba hamaray sarr ka taaj hain aur unn ki muhabbat ka yai ma’ana nahi k hamain Ahle Bait say bughz hay balkay Sahaba ki muhabbat Ahle Bait ki tazeem dono aapas main mutalazim hain aur dono main choli-daman ka saath hay, aik doosray say juda nahi ho sakti. Shee’a tazeem e Ahle Bait ka naam laita hay aur Sahaba say bughz rakhta hay aur Kharji jo hay wo Sahaba say bughz rakhta hay aur wo sabb say gya, Shee’aa tazeem e Ahle Bait ka naam lay kar k Sahaba say gaey to Ahle Bait say b gaey, aur Khawarij aur doosray log jo hain wo sabb say gaey . Aur Ahle sunnat ka hay baiRa paar Ashaab e Huzoor, yai haqq walon ka aur A’la Hazrat ka aur tamam musalmanon ka sacha mazhab hay. To yai jo ma’ana Unn sahib nay pehnaay yai sahi nahi hain aur inn bina par unn ko na-jaez kehna yai unn ka ghalat aur batil khayal hay. |
Question 6: Kisi bhi Imam ki taqleed karna hamare ikhtiyaar me hai? Ya Khaandaan ke nasab se jo ho raha hai wahi apnaye? |
Answer: Ikhtiyar ki baat to yai hay k inn maamlaat main jis taur par aksar baishtar logon ka Iman bhi taqleedi hay, aur koi shakhs jo hay uss ko mukallaf nahi kia jata jo musalman maan baap k gharr main paida hua k wo istidlaal k zaree’ay say aur argument k zaree’ay say wo dalaael ko establish karay aur rules ko proof karay aur aqeedon ka ihfaaz karay, balkay jo maan baap k zaree’ay say jo aqeeday uss nay sunay unhi par uss ka aitiqaad hay agar wo Sunni hain to uss ko bhi Sunni shumaar kia jayai ga jabb takk k apnay ikhtiyar say koi aisi baat na karay jo sunniyat k khilaaf ho. Issi taur par jo maan baap Hanafi hain unn ki jo aulad hay wo b Hanafi shumaar ki jayai gi jabb takk k apnay ikhtiyaar say koi aisi baat na karay k jis say Hanafiyat ka Ikhtilaf ho. Ab ikhtiyar wali baat yai hay k agar kisi k andar itni ability aur itna qualification hay aur itni qabiliyyat hay k wo kisi aur mazhab ko ikhtiyar kar sakta hay aur wo uss k amal k liay tarjeeh aur preference uss ko jo hai uss k amal k liay jo hay taqaza karti hay k wo uss par amal karay to Hanafi Shafi’ee ho sakta hay aur Shafi’ee Hanafi ho sakta hay to is par Shairat ki taraf se koi ------ nahi hai. Lekin aisay nahi k yai khail hay k jabb chaha to Hanafi bann gaey aur jabb chaha Shaafi’ee bann gaey, balkay agar Imam e Azam k Mazhab par amal kar lia chahay baap k gharr main paida honay k aitibaar say ya kisi taur par unn k mazhab par amal kar lia to ab lazim hay k saaray masael main unn ki taqleed karay. Aur yai nahi ho sakta k kabhi Hanafi ban jayai aur kabhi Shafi’ee bann jayai, aur without justification aur baghair kisi daleel k balke shara’ee taur par agar wo Aalim hay aur tarjeeh day sakta to uss ko yai ijazat hay aur jo aisa nahi hay aam aadmi hay uss k ooper yai hi lazim hay k apnay mazhab ki taqleed karay. |
Question 7: If someone’s Father is a Shafi’ee follower and the Mother is a Hanafi follower, what should the child follow? If he doesn’t have much touch with father’s family and Shafi’ee Hazraat and is living and knowing and has studied all masaails of Imam e Aazam Radi allahu Ta'ala Anhu and is very satisfied with Imam e A’zam masaails only. Can he follow Imam e Azam’s Mazhab? What are Seyyedis views on this? |
Answer: I have to say in this regard that it is advisable, but it is specified for him to follow Hanafi school of thought because Hanafi restrictions and Hanafi rules, he can easily follow Hanafi rules and he can easily know the Hanafi restrictions through the scholars which are available to him. |
Question 8: Aj kal dekha jata hai k Moo-e-Mubarak kay paas mannat kay rumaal rakhay jatay hain or is shart kay sath kay agar kisi ki mannat poori ho jaye to Moo-e-Mubarak kay paas 11 rumaal wapis rakh day! Or jo rumaal uthaya hai usay istimal nahi kartay balkay tabarruk kay tor par rakha jata hai! Is baray mei kuch bata dijiye? Is shart kay sath rumaal uthana kesa hai? kya aesa karna jaiz hai? |
Answer: Yai mannat koi shara’ee mannat nahi hay aur inn rumalon ka iss taur rakhna iss ki bhi koi asal nahi hay aur na iss shart ka eefaa aur paabandi lazim hay. |
Question 9: If a Mehram or a Na-Mehram is sleeping in a room? Can we pray in that same room? |
Answer: This question is repeated and I have already answered this question before a week. |
Question 10: Valima karna zaroo hai kya, agar maine nahee keyaa to gunahaa-a-kabeera hay? |
Answer: Yai sunnat hay aur sunnat ka qarz moojib e isa’at hay aur Huzoor sawar e aalam sallallaho tabaraka wa ta’alaa alaihe wassallama ki sunnaton ko impose karna aur Unn ki sunnaton ko ada karna yai Ishq e Rasool ki alamat hay aur aadmi ki hidayat k liay yai uss ki hidayat ka zaamin aur Huzoor ki Sunnat par amal karnay say Huzoor ki Shafa’at e khassaa ki ummeed hay k taraqqi e darjaat k liay Huzoor uss k Shafee hoNgae aur uss ki shafa’at farmayain gae aur jo Huzoor ki Sunnat tark karay uss k liay wa’eed yai aayi hay k لم یذل شفاعتی taraqqi e darjaat k liay jo meri Shafa’at khaas agar kisi ne meri Sunnat choR di to wo uss Shafa’at say mehroom rahay ga agarche gunaah e kabeera waloN k liay huzoor ki shafa’at hay wo uss ko b milay gi. |
Question 11: kya hum zakat ka paisa ek Sunni Musalman ko english taleem (e.g. b.com, bca, mba etc) parrhnai ke liye de saktai hain? |
Answer: Agar wo Musalman faqeer hay ya miskeen hay naadaar hay aur sahib e nisaab nahi hay to wo Zakat ki raqm jo hay uss ko day saktay hain aur wo uss ko maalik bana dain to wo maalik bann jayai ga, Zakat ada hojaegi, laikin iss maqsad k liay daina bohat bura hay. |
Question 12: Kia bachay par naam ka asar parrta hay? Kuch loug ka khayal hay Umar Naam rakhnay Jalal Ghalib ho jata hay? |
Answer: Achay naam rakhnay say ummeed hay k acha asar paRay aur Huzoor Sarwar e Aalam sallallaho tabarake wa ta’alaa alaihe wassallama achay naam rakhnay ki targheeb daitay thay aur agar koi bura naam kisi bachay ka hota tha to uss ko badal kar k acha naam rakh daitay. Aur yai k Umar naam rakhnay say jalal ghalib ho jata hay, yai koi aisi baat nahi hay k jis ki bina par Umar naam na rakha jayai. Umar naam rakhna bohat acha hay Sunniyat ki pehchan hay aur umeed hay k Hazrat e Umar k naam ki barkatain uss ko hasil hoNgi, aur agar jalal b agar ussko ho ga to jihad, deen k ma’amlay main aisa jalal ho ga k bad-mazhab b uss say ghabrayain gae. |
Question 13: Shirt k andar Banyan waghayra ulti ho to kya Namaz ho jaegi? |
Answer: Shirt k andar agar banyan waghaira ulti ka main samjha nahi baat k kya poochna chahta hay, bahar haal yai shayed poochna chahtay hain k shirt pehni aur andar banyan ulta hay to ultay kapray ko pehn’na aur ultay kapray ko pehen kar k namaz paRhna Makrooh e Tanzeehi hay aur yai sawal mujh say pehlay b kia ja chuka hay aur Bahar e Shariat ka hawala dia gya tha mujhay Bahar e Shariat ki ibarat paRh kar k sunayi gaee uss main Makrooh e Tehreemi nahi likha hay balkay unhon nay zahir karahat e tehreem likha hay yaani unn k nazdeek iss par jo hay unn ko sure nahi hay k karahat e tehreem hay balke unhonn nay behes k taur par uss ko kaha hay k unn k nazdeek zahir yai hay k makrooh e tehreemi hona chahiyai, laikin jo daleel unhon nay di hay uss say Makrooh Tehreemi muta’ayyan nahi hota hay balkay wo daleel Makrooh e Tanzeehi ki hay iss liay k unhon nay farmaya k yai khilaf e mohtat hay aur Makrooh e Tehreemi k liay koi Daleel e Khaas Hadees say ya QURAN say koi Aayat Qati ud Dalalat chahiyai jis say jo hai Karahat e Tehreemi ka hukm sabit ho aur khilaf e mohtat hona yai Karahat e Tehreemi ka muntazi nahi hay. |
Question 14: Bhar Dou Jholi Mairi Tajdar-e-Madina kehna kesa? Quran Pak mein hay: “Ae Nabi Keh Deejiyea Insanoun Sai Kai Tumhaarai Nafa aur Nuqsaan ka Ikhtiyaar Sirf Allah Kai Paas Hai”. (Surah Jinn: 21) |
Answer: Yai kehna jaaez hay mustehsan hay acha hay. yai jo saail nay Surah e Jinn ki aayat ka tarjuma naql kia hay iss say iss k jawaz par aur iss k istehsaan par koi zarb nahi paRti. Aadmi khud daikhay roz marra k mahawaraat main aur shab o roz ki zindagi main sainkron martaba chotay say baray say kamm qaum say aalaa qaum say neech say sabb say aadmi madad maangta hay, aur yai kehta hay k mera yai kaam kar do mera wo kaam kar do, haakim k paas jata hay zaalim ki faryaad uss k paas lay jata hay haakim say madad maangta hay k mujhay madad day do, hakeem k paas jata hay k meray pait main dard hay mujhay dawa day do. To wahan par yai sawal nahi aataa hay k saaraa nafa o zarar ka ikhtiyaar sirf ALLAH tabarak wa ta’ala ko hay aur jahan Huzoor ka naam aataa hay ya Auliya ka naam aur wahan par koi jo Huzoor ko pukaar lay ya RasoollAllah keh day ya yaa Ghaus keh day ya yaa Abdul Qadir Jilani keh day to iss qism ka khyaal aataa hay, yai mehez Wahabion ki aur badmazhibon ki tafreeq e batil hai. Jis taur say wahan par madad mangna jaaez hay ba darja e aola Nabi say Wali madad mangna jaaez hay wo madad waseelay k taur par hay jaisay wo waseelay k taur par waisay yai waseelay k taur par hay. Aur Huzoor ALLAH ki baargaah ka aisa waseela hain k wo awwaleen ka aakhireen ka NabioN ka RasooloN ka aur saari kayenaat ka waseela hain aur ALLAH nay khud hukm dia hay k یٰۤاَیُّھَا الَّذِیْنَ اٰمَنُوا اتَّقُوا اللّٰہَ وَابْتَغُوْۤا اِلَیْہِ الْوَسِیْلَۃَ وَجَاھِدُوْا فِیْ سَبِیْلِہٖ لَعَلَّکُمْ تُفْلِحُوْنَ |
Question 15: ‘Maula Ali Mairi Kashti Paar Lagaa Dai’ kehna kesa? Quran Pak mein hay: Jab Kashti Mai Sawaar Houtai Hain Tou Allah Ko Pukaartai Hain (Surah Ankaboot : 65). Inn Quraani Hawaaloun kai baarai main aur aisay Gustaakhoun kai baarai mai jo Quran o Hadees k Naam par Lougon ko Mushrik banatay hain kuch Irshad farmaen? |
Answer: Inn logon k baaray main mera hukm yai hi hay k inn ka Imaan baaz e QURAN par hay aur baaz e QURAN par nahi hay. abhi main nay wo aayat paRhi jis main waseelay ka hukm hay aur zahir kar dia k yai madad jo hay aur iste’anat jo hay wo iss taur par nahi hay k ALLAH tabaraka wa ta’alaa say jis taur par madad chahi jati hay ALLAH jo hay wo sabb k nafa o zarar ka malik hay aur Madadgaar Haqeeqatan Wohi hay, laikin ALLAH nay yai Apni madad access aur means aur uss wasaael Allah ne yahan par muqarrar kiay hain aalam e asbab main, unn ko uthaa daina yai jo hay ALLAh tabaraka wa taalaa k ahkam ko uthana hay, aur baaz ayat par eemaan aur baaz say munkir hona yai Wahabion ki jo hay aadat hay. Aur inn ki aadat yai hay k jo aayatain Mushrikeen ki muzammat main utri hain wo unn ko yai Sunnion k ooper mehmool kartay hain wo jis aayat ka hawala day raha hay wo Kafiron k haqq main utri hay uss say yai sabit nahi hota k Ambiya say Auliya say bataur e Tawwasul aur unn ko Waseela banaana yai haraam hay ya shirk hay, jo iss ko shirk kehta hay ya haraam kehta hay wo khud shirk ki daldal main gariftaar hay aur uss ka shirk aisa k uss say hamm Musalman to ham musalman jo hain Sahaba aur Ahle Bait khud RASOOL e Khuda balkay QURAN e Azeem koi unn k shirk say nahi bachta hay jaisa k A’laa Hazrat nay “Al-amn wal Ulaa” main zahir farmaya hay. |
Question 16: Namaz kis halat me muaf hai. Mein ne suna hai k namaz kisi surat me mu'af nahin. Ye bhi suna k agar koi shahks pani me doob raha hai tab bhi nahi. Agar aisa kahin se sabit hai tou irshad farmaen! |
Answer: Namaz aham e ibadaat main say hay, aur Islam ka Iman k baad pehla rukun hay aur namaz deen ka satoon hay. Hadees main aayaa k jis nay namaz ko qaaem kia uss nay Deen ko qaaem kia aur jis nay namaz ko chor dia uss nay bayshak Deen ko dhaa dia. Aur aksar haalaat main marz k namaz farz hay wo saaqit nahi hay, bohat naadir aur makhsoos sooratain hain jin main namaz saaqit ho jati hay, unn main yai b aayaa hay agar paanch namazon say zyada agar koi shakhs bay hosh raha 6 namazon men behosh raha ya paagal ho gya ya agar wo ishaaray say namaz parhnay par b Qadir nahi to ab namaz saaqit ho gaee, agar aisi maut ki haalat hay k ishaaray say b namaz nahi paRh sakta hay to namaz saaqit hay. |
Question 17: Shajra shareef fajr ke baad aksar parh nahin paata. Kya kisi aur waqt parhne ki ijaazat hai? Agar haan to konse waqt parh sakte hain? Rahnumai farmaien. |
Answer: Jis waqt itminaan say aur paa bandi say parh sakain parh lain jo fursat ka waqt ho, fajr k waqt na parh sakain to sotay waqt sonay say pehlay jabb fursat milay parh lain. |
Question 18: Allah bakhsh aur Allah khalifaa naam rakhna kesa? |
Answer: ALLAH bakhsh naam rakhna aisa hay jaisay koi Arabi main rakhay Heebatullah jaisay Heebatullah naam jaaez hay aisay hi ALLAH bakhsh naam jaaez hay. aisay hi jo hay Khaleefatullah khalifa naam rakhna jaaez hona chahiyai, magar ALLAH khaleefa ya Khaleefatullah naam rakhnay main ta’amul yai hay k ALLAH ka baraah e raast Khaleefa Ghair e Nabi nahi hay Wo ALLAH ka Nabi hay, agarche Nabi k waseelay say jo hay ALLAH tabaraka wa ta’alaa k Khalaaif aur Uss k Khulafaa Auliyaa b hain aur aam momineen b hain aur ALLAH tabaraka wa taalaa nay iss dunia main jin ko bhaija unn ko ALLAH nay aik taur par jo hay QURAN main aayaa hai k ثُمَّ جَعَلْنٰکُمْ خَلٰۤئِفَ فِی الْاَرْضِ مِنْ م بَعْدِھِمْ لِنَنْظُرَ کَیْفَ تَعْمَلُوْنَ Lehaza Khaleefatullah ya ALLAH khaleefa naam nahi rakhna chahiyai. |
Question 19: Agar koi shakhs khali sharaab ki bottle bhangaar ki dukan mein beche to uska kharidna kaisa hai? |
Answer: Yai jaaez hay iss liay k sharab nahi baich raha hay balkay botal baich raha aur botal uss k haqq main maal e mutaqabbidh hay uss ki saman wo lay sakta hay aur baich sakta hay. |
Question 20: It is very common that in eclipse, pregnant women don’t do any work nor cut anything, they say if we cut something in the eclipse period any part of the body of the baby will be damaged or cut, is there any ruling of Shariath on this matter? Please briefly explain. |
Answer: In this issue I have to say that it is not justified by shariah to belief and to consider as such. |
Question 21: Yeh kehna k "Zulm karnay wala Aur Zulm Sehnay wala dono barabar gunahgar hain" theek hay? |
Answer: Yai baat to meri samajh main nahi aati hay. Zaalim jo zulm kar raha hay wo gunahgaar hay aur zulm jo seh raha hay uss ko kion gunahgaar kaha jaa raha hay? Albatta yai hay k uss par baqadr e qudrat yai zaroori hay k dafe’ zulm karay aur zulm ko dafa’ karay, aur yai uss ka haqq hay k uss zulm ko dafa karay ya uss par bardasht karay iss main uss ka gunahgaar hona samajh main nahi aataa. |
Question 22: AGAR KOI SYED SUNNI APNI BETI YA BAHAN KI SHADI SUNNION MAYRISHTA NA MILNAY KI SURAT MAY SHEEAA SAY KAR DAYTO KAISA HAI? ISI TARAHA GAR KUI SUNNI MARD KISI SHEEA AURAT SAY SHADI KARLAY TO KAISA HAY? |
Answer: Dono sooraton main nikaah asalan nahi ho ga iss liay k aaj kal k Shee’aa murtad hain aur murtad say nikah aslan sahi nahi. Murtad ka kisi murtaddah say nnikah sahi nahi cheh jaayai k wo Sunni say nikaah karay ya Sunni aur Syed zaadi uss k nikah main di jayai, yai bohat bura bohat khabees aur yai bohat hi khilaaf e shariat khilaf e islam amal hay iss say tauba lazim aur nikah aslan nahi ho ga. |
Question 23: Jab Peer Wali e Kaamil ho, aur humko hamare Silsile par poora yaqeen ho, to kya hum kisi aur Peer ke silsila me taalib ban sakte? |
Answer: Taalib ban’nay ki koi ma’qool agar wajah hay to Shara’n ma’qool o maqbool hay to wo Taalib ho sakta hay ba shart ye k apnay Peer ki ba’et par qaaem rakhay. |
Question 24: IN DUBAI I SEE MANY HANAFIS PRAY THERE ASR PRAYERS AFTER THE SHAFI’I TIMINGS, HUZUR WHAT IS THE HUKUM FOR US? |
Answer: It is not permissible for Hanafis to perform Asr in shafi’ee time, they must follow Hanafi rule and perform namaz in certain time when asr e hanafi begins. |
Question 25: Qasidah Burdah Shareef ki khusoosisat kiya he aur us ke ash'aar me jo fawaid he kiya Hazrat ham ghulamo ko bayaan karsakte hain aur ijazat bhi? |
Answer: Ijazat to hay parhnay ki aur uss k bohat barakaat hain aur barakaat uss k bilkul Wijdaan main aadmi khud mehsoos karta hay uss k, aik baRi khusoosiyat yai hay k Burday ki jo ibtida hui wo ye hai k Hazrat e Imam Sharaf ud Din Boosairi rehmatullah e ta’alaa alaihe jin ki zindagi mulook baadshahon aur umaraa aur hukkaam ki madha-goi main aur unn ki khidmat main guziri. Unhon nay Huzoor Sarwar e Aalam sallallaho tabarake wa ta’alaa alaihe wassallama ki midhaat main unn ki tareef main b bohot saare qasaaid likhay laikin unn ki zindagi ka bohat saaraa hissa iss haalat main guzra. Taufeeq e ilaahi ko yai manzoor hua k wo sabb say kinara-kash ho kar k aur sabb say katt kar bilkul Huzoor Sarwar e Aalam sallallaho tabarake wa ta’alaa alaihe wassallama k ho kar reh jayain, to ab yai Khuda ki marzi k unn ko faalij main mubtilaa kia gya aur faalij main mubtilaa hona bazahir yai unn k ooper museebat thi aur balaa thi lekin yai museebat aur yai balaa unn k liay aik nemat e bay-bahaa ki shakal main namoodar hui aur unhon nay faalij main Huzoor ki taraf tawwajo ki aur khwaab main Huzoor ka Jalwa nazar aayaa aur yai Qaseeda e mubaraka poora ka poora unhon nay Huzoor ko sunaya aur uss ka yai asar hua k Huzoor Sarwar e Aalam sallallaho tabarake wa ta’alaa alaihe wassallama apna Burda e Mubarak unn ko ataa farmaya aur unke jism par haath phera, aankh khuli to bhalay changay thay aur wo Burda e Shareefa jo hay wo unn k jism par ya unn k pehlu main wo Chaadar e mubarak unhon nay maujood paayi. Aur yai Baargaah e Risaalat ka aisa maqbool Qaseedah hay k inhon nay khwab main sunaya aur baaz ashaar k baaray main ayi aayaa k Imam Sharaf ud Din nay Huzoor ko yai ash’aar sunayai Huzoor nay uss par qabooliat ka yai sign zahir kia k uss ko sunn kar k Huzoor aisay jhoomay jaisay k tehni jhoomti hay aur unn main baaz asha’ar unn k baaray main saaf Imam e Kharputi nay likha hay yai wo sh’er ko Huzoor nay suna aur Huzoor nay uss par pasandeedagi ka izhaar farmaya aur aisay jhoomay, aur aik sha’er main aik misra Sarkar nay unn ko Ilqa kia jo “famablaghul ilmi feehi annahu basharun” keh kar Imam Boosairi keh kar ruk gaey aagay nahi baRh rahay thay Huzoor nay farmaaya “wa anhum khairul khalqillah hi kullihimi” yaani unhon nay kaha k hamaray ilm ki inteha to yai hay k bass Sarkar Bashar hain aagay nahi keh paa rahay thay k Sarkar nay kaha k Boosairi aisay kaho “wa annahu khairul khalqillahi kullihimi” aur wo ALLAH ki makhlooq main sabb say behtar hain. To yai jo iss ki aaj tak yai khasoosiyat daikhi jaa rahi hay k koi kaisa hi mareez ho aur uss agar akhiri waqt b ho aur uss k par agar Qaseeda Burda Shareef parh dia jayai to uss ko Shifa ho jati hay aur uss k liay agar akhiri waqt hay to uss ko aasaani ho jati hay. |
Question 26: Aik Muqarrir ne kaha k Aik Neki aisi hay jo Sarkar ne Anjaam nahin di aur wo Azaan dena hay. Kia Sarkar nahin kabhi Azan nahin farmae? Aur agar aisa hay bhi tou ye kehna theek hay k Sarkar ne aik Neki nahin ki? |
Answer: Aisa nahi kehna chahiyai aur awam k saamnay iss qism k masaail bayan karna aur b naa-munasib hay aur wo kuch ka kuch samjhain. Aur Hadees main yai aayaa hay k Huzoor nay kisi safar main azan khud ba-Nafs e Nafees azan ada ki hay, to azan di hay. [Tirmidhi, Hadith 411; Musnad Ahmad, Hadith 17584] |
Question 27: Hazrat ne farmaya k Jin Shehron ya Mumalik mein kuch khaas dino mein Isha ka waqt nahin hota wahan Qaza parrhi jaegi? Qaza kub yani kis waqt parrhi jaeygi? |
Answer: Qaza ka koi khaas waqt muqarrar nahi hay, Bahar e Shariat k hawalay say kisi nay bataya tha k qaza parhnay ka hukm hay to uss soorat main qaza ka koi khaas waqt muqarrar nahi hay jabb mauqa milay uss ko paRha le. Aur qaza ka waqt yehi bataya hay k jabb uss ko yaad aayai aur uss mauqa ho to wo parhay yai hadees main b bataya gya, aur behter yai hay k jin dinon main Isha ka waqt hota tha uss ka aik andaza muqarrar kar k wahan par aik andaza muqarrar kar lay aur yai samajh lay k itna waqt jo hay yai Isha ka hay aur uss main phir wo namaz parh lay ab wo chahay qaza samjho ya adaa samjho INN SHAA ALLAH uski namaz ho jayai gi. |
Question 28: Kya hum zakat kai paisai sai kathnaa, Sunnat-e-Ibrahimi, kara saktai hain? |
Answer: Nahi iss ki ijazat nahi hay, zakat ka mustahiq faqeer e Muslim hay miskeen hay uss ko unn ki kull jo zakat hay uss ka daina wo zakat ki raqam daina usko dena farz hay miskeenon ko faqeeron ko, aur iss say khatnay waghaira main sarf karna ya apnay masraf main safr karna hai iski ijazat nahi hay. |
Question 29: Kya hum eidgah ke jaghaa par Sunni Masjid bana saktai hain, jab ke us jaghaa mai kuch zameen izafi bhi hai? |
Answer: Agar wo eid gah waqfi hay aur waaqif nay waqf kia hay uss ko eidgah k taur par to waqf ki tagheer e hai’at uss ki hay’at say jaaez nahi hay albatta wahan namaz paRh saktay hain. |
Question 30: Kiya Qabaristan mein kisi khali jagah par masjid bana saktay hian? |
Answer: Qabrustan main khali jagah par masjid bananay ki ijazat nahi hay agar wo zameen waqfi hay, aur agar wo zameen waqfi nahi hay balkay kisi ki millk hay to uss maalik ki ijazat say khaali jagah par jo k qabrustan k liay makhsoos nahi hay to wahan par masjid bana saktay hain. |
Question 31: Jism-e-Misaali jo Sufiya e Kiraam ki istilaah he us se kiya muraad aur english me us ka tarjama kiya kiya jayeh? |
Answer: Soofiyaa e kiram ki bhi istilaah hay aur mutakallimeen waghera nay bhi iss istilaah ko istimaal kia hay wo yai hay k ALLAH tabaraka wa ta’alaa nay Rooh ko yai taqat ataa ki hay k wo hamaray jism main jo rooh rakhi gaee hay wo hamaray jism k islaah aur uss k kaamon ki tadbeer karnay k saath saath bazaahir wo jism main muqayyad nazar aati hay laikin yehi rooh jo hay yai hamaray jism k baahir b kaarfarmaan ho sakti hay aur iss ka mushahida hay (k na sirf) ho hi nahi sakti hay balkay hoti hay. Aadmi so jata hay to sotay main uss ka jism so jata hay baykaar ho jata hay thori dair k liay yai dead ho jata hay laikin uss ki rooh jo hay wo nahi marti hay aur rooh jo hay wo active rehti hay, ab rooh jo hay iss badan ka kaam nahi kar rahi hay laikin aadmi daikh raha hay k wo kaheen jaa raha hay aadmi daikh hay k wo kuch khaa raha hay wo kuch pi raha phir daikh raha hay k aasmanon main urr raha hay to yai kya cheez hay, yai rooh hi ka tassarruf hay. Aur yai rooh jo hay jo aap ko yahan par jo jism dikha rahi hay yai matlab hay k jo hay wo actually jo hay yai iss qism ka jism jo hay jo aap dunia k andar jo hay wo nahi hay balkay yai aik haqeeqi jism nahi hay yai aik artificial jism hay imitated jism hay body hay jo aap ko matlab hay k jo hay aap ki hiss main aur aap ki aankhon ko nazar aa raha aur yai aap ki rooh hay yai k kabhi iss jism main hay aur kabhi uss jism main hay. |
Question 32: Azan k waqt Baitul Khala jana kesa aur kia Azan k waqt Wuzu kar saktay hain? Ya pehlay Azan k khatam honay ka intizar karain? |
Answer: Bait ul khala agar janay ki haajat hay to yai poochnay ki kya zaroorat hay, jana hay uss ko to jayai ga hi aur azan k khatam honay tak intezaar uss ko lazim nahi hay, aur wuzu b wo kar sakta hay aur wuzu k dauran wo Azan ka jawab b day sakta hay jab k kisi aisi jagah par na ho jahan par jaisay hammaam waghaira jahan par gandi cheezon ka paani ya gandagi hoti hay, balkay kisi paak saaf jagah par baitha hay to azan ka jawab b day sakta hay. |
Question 33: Eid ki namaz, jo saal me eik martaba hoti hai, kya isme doosri jamaát ho sakti hai? |
Answer: Jamat main Shariat ki hikmat yai hay k Musalmanon ki unity aur harmony aur unn ka Ittehaad o Ittefaaq jo hay qaaem rahay, aur muta’adid jamaton main tafreeq e jamat musalmanon ki unity main tafreeq lazim aati hay lehaza shara’n bila uzr 2 jamaton ki ijazat nahi hay. Albatta agar kuch log reh gaey aur unn ko eid ki namaz nahi mili to agar Imam mazool ya Sultan e Islam ya uska mazool ya mazool ka mazool jama’e sharaet e Imamat hay to wo eid ka imam ban sakta hay aur doosri jamat ho sakti hay. |
Question 34: Kuch loug jub kisi Peer se Bay'at hotay hain tou unn k ye khayal hota hay k unn k kisi Peer k Mureed honay se unki tamam pareshanian aur mushkilat door ho jaengi aur jub aisa nahin hota tou ye sochtay hain k shayad unka Peer Kamil hi nahin iss liye kaheen aur Bay'at kar letay hain, Kia Bay'at isi liye ki jati hay k pareshanian aur museebtain door ho jaen? |
Answer: Yai to bohat mamooli maqsad hay, aadmi ko mureed hona chahiyai iss liay k Huzoor Sarwar e Aalam sallallaho tabaraka wa ta’alaa alaihe wassallama ki aik Sunnat jo Huzoor nay baya’t ki thi apnay Sahaba e kiraam say wo Sunnat jo Mashaaekh e kiraam main chali aa rahi hay wo Sunnat iss taur par adaa ho jayai aur meri nisbat buzurgon say aur buzurgon k waseelay say Syed e Aalam sallallaho tabarake wa ta’alaa alaihe wassallama say mazboot ho jayai aur yai sochay k mujhay kisi na kisi ka faiz meray Peer ka ya meray Peer ka silsila agar sahi hay to uss k Peer ka ya uss k Peer ka ya Ghaus e azam ka ya Rasoolullah ka kisi na kisi ka faiz mujhay milay ga aur meri dastgeeri karay ga. Yai bohat hi ghatiya maqsad hay k mushkilaat aur asaan aur pareshanion k hall k liay bay’at ho gaey aur agar wo mushkil aasaan nahi hui to doosray say bay’at ho gaey yai iss ki ijazat nahi hay, iss liay k Peeri Mureedi aam sauda nahi hay aur aam sauday main b yai shar’an mazmoom hay k hamm nay aaj iss say sauda kia aur us say bhao tao karnay k baad chor kar k doosray k haan chalay gaey balkay hukm yai hay k اَوْفُوْ بِالْعُقُوْدِ |
Question 35: Bohat se bayanat mein mein nay suna hay kay akhri waqt mei Imaan koilay ki tarah houga kay jisko hath pe rakhnay se hath jalay ga aur phenknay se imaan jata rahay gaa. Kya aesi koi riwayat hay? Agar hay tou rehnumai farmayen wou akhri waqt konsa hay jiska zikr kya gya? |
Answer: Qurb e qayamat aur yai waqt yehi hay jis main tezi say haalaat badal rahay hain aur Hadees main aayaa k aadmi subah ko Musalman ho ga sham ko Kafir ho jayai ga sham ko musalman ho ga subah ko Kafir ho jayai ga. Aur Hadees main yai mazmoon aayaa k iss zamanay main jo apnay Deen par qaaem hay wo aisa hay k jaisay angaaray ko pakray huay, k agar angaaray ko pakray huay hai to kitni sakhti aur kis qadar shiddat aur kitni takleef uss ko ho gi ussi ki misaal yai di k yai aisa hi hay balkay yai uss say b zyada sabar aazma aur takleef deh hay agar aadmi sabar karay ga aur sakhti say qaaem rahay ga to INN SHAA ALLAH uss ka Imaan par khatima ho ga aur wo saari balaaon ko aur saari mushkilaat ko overcome kar lay ga aur saari mushkilaat say paar ho kar k uss ka baira paar ho ga, aur agar apna Imaan chor day ga to balayain b ghairain gi aur dunia ki balaaon say agar uss ko Khulasi mil gaee to aakhirat ki balaaon ka wo laamehdood silsila wo kabhi nahi khatam honay wala uss ko ghairay ga aur wo hamaisha azab main rahay ga. |
Question 36: Aksar dekha gaya k loug Bismillahi RaHmanir Raheem ki jaga "786" likhtay hain, Aisa likhnay ki ijazat hay? Kia isska wahi Sawab hay jo Bismillah Sharif likhnay ka hay? |
Answer: Yai ahtiat k taur par b likha jata hay k bismillah agar uss taur par likhi jayai gi to uss k jo hurmat aur uss k ahkaam hain wo nahi nibhaa sakay ga iss liay b likha jata hay aur iss ki ijazat hay aur yai ilm e aufaaq hay aur yai Musalmanon main aik zamanay say raaej hay, aur yai fil jumla sawab ka moojib hay. Yai aur baat hay k bismillah hir Rahmanir Raheem poora likhnay parhnay ka sawab zyada hay aur iss ka utna nahi, yai baat aur hay. |
Question 37: Mein apni bivi wo aap se mureed karna chahte hen, lekin kia iske liye unki bivi ki ijazat lena zaruri hai? |
Answer: Ijazat zaruri hai. |
Question 38: HUZOOR HAM NE 3 SAAL PEHLE ZAKAT KI AMOUNT ME SE KAI NEEDY PEOPLE KO EYE-CAMP K MOQA PE MOTIA KA OPERATION KARWA DIA. TAKRIBAN 6-7 LOGON KA JO BHI AMOUNT THA WOH HAMNE SAB DR. KO DE DIYA. AB WOH DOCTOR SAHB JO HE WOH "SAYYED" HAIN, AUR UNHON NE KAHA K AAPNE MUJHE JO RAQAM DI WO ZAKAAT KI AMOUNT HAI AUR AAPNE USKO "HILA" NAHI KARVAYA AUR ME TO ZAKAAT LE NAHI SAKTA. TO HAZRAT AB HAMEN KYA KARNA HOGA? PHIR SE ZAKAAT DENI HOGI? YA HAMARI NIYYAT SIRF PATIENT KE LIYE HI HAI, TO JAEZ HOGI? |
Answer: Agar wo raqam ilaaj k liye di gai to iss taur par agar wo daitay k wo patient ko day daitay poori ki poori raqam wo jo chahta uss say karta ilaaj karata yai jo chahta karta malik bana daitay to zakat ada hojati. Ab uss k ilaaj k liay raqam kharch kar di aur Syed sahib ko day di ya uss k ilaaj main iss taur par kharch kar di to yai tamleeq ki soorat nahi hau iss, main zakat adaa nahi hui. Wo raqam agar syed sahib ko di gaee aur wo raqam zakat ki thi to unn ko dainay say zakat ada nahi hui aur aap ko az sar e nau apni zakat daina ho gi. |
Question 39: kya khawateen khas dino mei mehndi laga sakti hay? |
Answer: Laga sakti hain. |
Question 40: BudMazhab aur Kaafir mein kia farq hay? Kia donu ka aik hi hukm hay? |
Answer: Badmazhab aur kaafir dono aik hain aur kabhi kabhi to badmazhab aam hay aur kaafir khaas hay. Badmazhab jis k aqaaed Ahle Sunnat wal Jamat k Aqaaed k Islam k Aqaaed k khilaaf hon ab agar wo hadd e kufr takk hain to wo Kaafir b hay agar hadd e kufr takk nahi hay to wo nira badmazhab hay fasiq fil aqeedah hay kafir nahi hay. |
Question 41: Jaan o dil hoosh o khiraad sab tou madeene poohanchey, Kiun nahi chalte Raza saara tou saaman gaya. Iski wazahat farma den. |
Answer: Iss main kya wazahat karnay ki zaroorat hay. Yai A’alaa Hazrat apni fanaiyat aur apni Mehwiat aur Sarkar ki muhabbat main aur Madinay ki muhabbat b Sarkar hi ki wajah say hay k wo Sarkar ka sheher hay aur yai bata rahay hain k Sarkar ki muhabbat yai muqtada e Imaan hay, lawazim e iman say Sarkar ki muhabbat hay, aur Sarkar ki muhabbat ka taqaza yai hay unn k tamam asbaab say aur unn k Sheher e Paak say muhabbat karay aur uss ko apnay Watan e Aziz par bhi tarjeeh day, aur yai b lawazim e Imaan say hay Hadees main aayaa hay k ان الایمان لیارز الی المدینۃ کما تارز الحیۃ الی جحرھا To A’laa Hazrat apni haalat bata rahay hain ya apni haalat bata kar k momin ki Ahle Imaan ki tarjumani kar rahay hain k “jan o dil hosh o khirad sabb to madinay pohanchay” … main yahan par hoon laikin mera maamla yai hay k meri jaan mera dil aur mera hosh meri aql sabb ka sabb to Madina pohanch gya ab kya reh gya tumhara jism reh gya “tum nahi chaltay raza saaraa to saamaan gya”. SubhanAllah! |
Dua and Names of those who entered Silsila Aaliya Qadiriyah |
Bait
Taalib
|
* Ooper likhay gaey Sawalat wa Jawabat ya Unn ki Roman Composing mein agar koi Galati hui hay tou Huzoor TajushShari'ah iss se baree hain. Choonkay ye kaam kuch loug mil kar Raza karana tour par Anjaam detay hain jis mein Galati ki Gunjaish hay. Agar aap ko koi Galati nazar aaey tou AsjadRazaKhan@Gmail.com par muttala' faramen. JazakALLAH Kher! |
No comments:
Post a Comment