Eid SMS - Eid Mubarak SMS - New Year SMS

Wednesday, July 8, 2009

//Dil Se Desi// :: Us se Pyar Huaa Jise Hum Kabhi Pa Na Sake ::



 
Us se Pyar Hua Jise Hum kabhi Pa Na Sake
Jiski Baato Ko Hum Kabhi Bhula Na Sake
Dil Lagaya Aur Lagakar Tod Diya Usne
Jise Bhulana Chaha Par Hum Bhula Na Sake
Apani Kasam Dekar Usne Hume Majboor Kar Diya
Mujhe Khush Rakhne Ke Liye Khud Se Dur Kar Diya
Humari Chahat Ko Kabhi Usne Samjha Hi Nahi
Aur Hum The Ki Unke Liye Apno Ko Hi Chhod Diya

Maujood hai
 
Un raho pe hum nahi chal sakte
jinke us paar tu maujood hai
Hamara safar hamari manzil
tere kaaran mehdood hai
Tere liye hum unme se hai
jo tere mehsood hai
Tu hume kya chahegi
nahi hum tere wadood hai
Nahi mil sakenge hum
jo sadiyo se itne saare hudood hai
 
khuda se badh kar
 
Kya unhe khuda ne banaya hai
par woh to khuda se bhi badh kar hai
Hum Khuda ke honge ya nahi
hum unke ho chuke yeh to muqarrar hai
Unke ibtisaam-e-daolat se
hum be-zar se ho chuke aksar hai
Unke mehfil-e-darbaar me rahen ke
hum khuda se be-khabar hai
 

YE PAGLA SIRF TUMSE MOHABBAT KARTA HAI
 
TUJHE SURO KA RAG KAHOON
YA APNI DIL KI AAWAZ KAHOON
TUJHE MOHABBAT KA BANA HUYA TAJ KAHOON
YA APNE DIL KA JAZBAT KAHOON
TUJHE KUCHH BHI KAHOON WO KAM HAI
TUJHE PANE KI JID ME
MERI AANKHE NAM HAI
NA JANE MUJHE KYA GAM HAI
TERI YADO KE SAHARE JI RAHA HOON
WO KYA KAM HAI
NA JANE YE DIL
TUJH SE KEHNE SE KYON DARTA HAI
YE PAGLA SIRF TUMSE MOHABBAT KARTA HAI
SIRF TUMSE MOHBBAT KARTA HAI
 
Raat Ki Tanhai
 
Raat ki tanhaiyon mein jab main akela hota hoon
To chaand se baatein karta hoon
Mil jaati hai teri har khabar mujhe
Main taaro se keh deta hoon
Tera aur mera rishta kuch ajeeb hai
Tum saans waha lete ho
main mehsuus yahan kar leta hoon
 
marne ki naubat 
 
Kaash tujhe na payaa hota
to aaj khone ki naubat na aati
Kaash teri khushiyo me na shaamil hota
to aaj gam se ye suhbat na aati
Kaash tujhe dekh ke na jiyaa hota
to aaj maut ki raghbat na aati
Kaash tujhe na dekha hota
to aaj marne ki naubat na aati

Dil ke har kone me
 
Dil ke har kone me naam aapka hai
Ye dil fida hai itna aap pe ki gulam aapka hai
Inn honthon se nikle jo har pal wo naam aapka hai
Jo mili hai pal bar ki zindgi hame aapke liye
Wo hamari dhadkano me rehne wala shaks mehman aapka hai

Duri Seh Nahi Paate 
 
Ik Pal Ki Duri Hum Seh Nahi Paate
Bin Tumhare Kaise Dur Reh Payenge
Kya Aapko Lagta Hai Ki Hum Aapke Bin Ji Payenge
Are Itni Karte Hain Hum Mohabbat Aapse
Ki Aapse Zara Sa Dur Hote Hi Hum Mar Jayenge

Tera naam
 
Khwaab aankhon mein tha
par sabko dikhaya na gaya
Lab pe ek naam tha
Jubaan pe kabhi layaa na gaya
Range the jigar se mere
usne apne haath
Par heena se meri
Hatheli ko sajaaya na gaya
 
Tasavir
 
Tu sirf tasawwur hi nahi
haqeeqat hai meri
Tu sirf zafar hi nahi
taqat hai meri
Tu sirf sarwat hi nahi
liyaaqat hai meri
Tu sirf ilm hi nahi
hizaaqat hai meri

dulhan
 
Subah ki thandhak, subah ki kushbu
unke khayalaat diye ja rahi hai
Guzarta hua lamha hamari zindagi se
sab arzoo saat liye ja rahi hai
kamre ka soona pann, Raat ki kamoshi
koi jazbaat diye ja rahi hai
Maut ki dulhan ko gale lagane
ab zindagi baraat liye ja rahi hai
 
faqat
 
Faqat ek baat kehna chahta hun
Teri ankhon mein rehna chahta hun
Bohat jaag chuka hun tere hijr mein
Tere anchal mein sona chahta hun
Zamane bhar ki khushian aur gham
Ye gham kuch aur sehna chahta hun

Jism ki aanch
 
Yeh teri saanso ki garmi hai
ki suraj ki tapish
Yeh teri bahon ki thandak hai
ki sheet ritu ki yoorish
Yeh tere jism ki aanch hai
ki chiraagh ka aatish
Yeh tera pyaar hai
ki teri nawaazish
Ab khuda ka nahi
tera karoo main parastish
 
kabhi yeh to kabhi woh
 
Kabhi sehar ka shor hai
To kabhi shab ki kamoshi
Kabhi kuch khone ka gam hai
To kabhi kuch paane ki khushi
Kabhi sabnam ka ek katraa hai
To kabhi daryia
Kabhi na haasil hua maksad hai
To kabhi saaree duniya
 

Aapne Jo Likh Diya
 
Jo Likh Diya Hai Aapne, Khoone Jigar Se
Hum To Kahenge Yahi, Hume Apana Bimaar Kijiye
Wada Raha Ye Aapse, Nibhayenge Dosti
Rah-e-Wafa Mein Hain Khade, Didaar Kijiye
Jo Khwaab Dekhe Aapne, Pura Karenge Hum
Apani Diwangi Ka Jara, Ikraar Kijiye
Hone Na Denge Kabhi, Rooswa Hum Aapko
Apani Inayato Se Hume, Sarobaar Kijiye
Ab Maan Bhi Jayiye, Sarkar Aap To
Ab Aur Hume Yu Na, Bekarar Kijiye
 
Khushi bhi doston se hai
 
Khushi bhi doston se hai
Gham bhi doston se hai
Takraar bhi doston se hai
Pyaar bhi doston se hai
Roothna bhi doston se hai
Manana bhi doston se hai
Baat bhi doston se hai
Misaal bhi doston se hai
Nasha bhi doston se hai
Shaam bhi doston se hai
Zindagi ki shuruvaat bhi doston se hai
Zindagi main mulakaat bhi doston se hai
Mohabbat bhi doston se hai
Inaayat bhi doston se hai
Kaam bhi doston se hai
Naam bhi doston se hai
Khyal bhi doston se hai
Armaan bhi doston se hai
Khwab bhi doston se hai
Maahol bhi doston se hai
Yaadein bhi doston se hai
Mulakaatein bhi doston se hai
Sapne bhi doston se hain
Apne bhi doston se hai
Ya yun kahun yaro
Apni to duniya hi doston se hai

Bas ye hi gila hai zindagi se
 
Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se
Gamo ki aandhi hai dukh ke saaye hain
Sitam jaane kya kya humne uthaye hain
Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se
Andhere hi andhere hain roshni nahi hai
Sabko chaand mila mujhe chaandni nahi hai
Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se
Sabke sangi saathi hain
sab khushi se ji rahein hain
Zehar ye judaai wala
bas hum hi pi rahein hain
Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se
Har koi has raha
meri aankhoon mein hi paani hai
Meri barbaadiyoon ki
ye jaise koi nishani hai
Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se

Yeh teri aankhe
 
Yeh teri aankhe badi jaazib lagti hai
unme thoda sa kajal ho to munaasib lagti hai
Teri chitwan jaise fashion ki ek taalib lagti hai
Tere chehre pe ho gussa to kaazib lagti hai
Is chehre ki ronak me yeh sab naaib lagti hai
 

Soona daaman tera
 
Yeh aashuftah palak tere
dilme de jata hai ek khalish
Un palako ke uthne par
deedaar hoti hai tera kashish
Humse yoon nazre firra lena
yaad dilate hai tera naazish
Yeh soona daaman tera
yaad dilata hai woh ranjish
 
Sochta hoon use neend bhi aati hogi
 
sochta hoon use neend bhi aati hogi
ya meri tarha faqat aashq bahati hogi
wo meri shakal mera naam bhulane wali
apni tasweer se kya aankh milati hogi
sham hote hi chokhat pe jala kar shameen
apni palkoon pe kayi khwaab sulati hogi
usne silwa bhi liye honge siyah rang libas
ab moharram ki tarha Eid manati hogi
hoti hogi mere bose ki talab mein pagal
jab bhi zulfon mein koi phool sajati hogi

Badle badle se
 
Badle badle se wo hai
badle badle se hai hum
kismat mei ho jiske udasi
kya bataye wo jindgi ke gum
kisi ka dosh hai kahan
jakhm hum khud hi khate hai
khade hai aaj uss mukam pe hum
jaha jane wale kabhi lout ke na aate hain
 
 
Apne hathon ki lakiron mein basale mujhko
 
apne hathon ki lakiron mein basale mujhko
main hoon tera, tu naseeb apna banale mujhko
mujhse tu puchne aaya hai wafa ke maaine
ye teri sada-dili maar na dale mujhko
main samandar bhi hoon, moti bhi hoon, 
koi bhi naam mera leke, bula le mujhko
tark-e-ulfat ki qasam bhi koi hoti hai qasam
tu kabhi yaad to kar bhulne-vaale mujhko
jaam phir jaam hai main zahar bhi pi jaaoon abhi
shart ye hai koi baahon mein sambhale mujhko

PYAR OR WAFA 
 
kash us patthar par phool khila karte
hum jate wahan or tod liya karte
utha kar balo mein laga liya karte
ya haar bana kar gale mein saja liya karte
jab shaam hoti to kitabo mein sambhal liya karte
raat hote hi apne takiye ke niche chhupa liya karte
dhire se apne khawabo mein basa liya karte
humare pyar ki bundon se khud ko jaga liya karte
phir se humare aangan mein khelaya karte
humare pyar ki kahani sab ko sunaya karte
hum ko chhod kar phir kabhi na jaya karte
 

Harshil Patel

Ahmedabad

+91 98799 97927



Love Cricket? Check out live scores, photos, video highlights and more.
Click here.

__._,_.___
Kindly visit the Group's website for Entertainment and Infotainment @ www.dilsedesi.org

***DIL SE DESI GROUP***
You can join the group by clicking the below link or by copying and pasting it in the browser bar and then pressing 'Enter'.

http://groups.yahoo.com/group/dilsedesigroup/join/

OWNER           : rajeshkainth003@gmail.com (Rajesh Kainth}     
MODERATOR       : a.amitkumar13@gmail.com {Amit Kumar}           
MODERATOR      : planetofprince@yahoo.com (Prem)
MODERATOR       : sharmi_mg@yahoo.com (Sharmi Ghosh)
MODERATOR       : sunil_ki_mail-dilsedesi@yahoo.co.in (Sunil Sharma)
MODERATOR       : dollyricky@gmail.com (Dolly Shah)
MODERATOR       : kapilchandan@yahoo.com (Kapil Chandan)
GLOBAL MODERATOR FOR www.dilsedesi.org : pooja.thakkar6@gmail.com (Pooja Thakkar)

To modify your list subscription, please send a blank email to:           

SUBSCRIBE           :  dilsedesigroup-subscribe@yahoogroups.com      
UNSUBSCRIBE           :  dilsedesigroup-unsubscribe@yahoogroups.com      
INDIVIDUAL MAILS     :  dilsedesigroup-normal@yahoogroups.com           
DAILY DIGEST           :  dilsedesigroup-digest@yahoogroups.com           
VACATION HOLD           :  dilsedesigroup-nomail@yahoogroups.com     
FOR POSTING MESSAGES :  dilsedesigroup@yahoogroups.com
Recent Activity
Visit Your Group
Give Back

Yahoo! for Good

Get inspired

by a good cause.

Y! Toolbar

Get it Free!

easy 1-click access

to your groups.

Yahoo! Groups

Start a group

in 3 easy steps.

Connect with others.

.

__,_._,___

No comments: