Eid SMS - Eid Mubarak SMS - New Year SMS

Sunday, August 15, 2010

Reminder: [Sunday, August 15th 2010 @ 2230 IST] LIVE Q/A Session with Mufti Akhtar Rida al-Qadiri from Madina Munawwarah

 

Assalamu Alaikum wa raHmatullahi  Ta'ala wa Barakaatuhu
 
This email is a reminder for the LIVE Question & Answer Session with Taajush Shari'ah Mufti Muhammad Akhtar Rida Khan al-Qadri  tomorrow (Sunday), 15th August 2010 at 10:30pm -- 2230 IST (Indian Standard Time i.e. GMT +5:30) from Madina Munawwarah inshaALLAH over
 
You may send your Questions to AsjadRazaKhan@gmail.com ... Questions can be asked in Arabic, Urdu and English languages.

Regards,

LIVE Q/A Team
Jamiat-ur-Raza, India


فاسألوا أهل الذكر إن كنتم لا تعلمون
Tou Ae Lougon Ilm walon se poocho agar tumhain Ilm nahin

8th August 2010 (Madina Munawwarah)

Urdu  |  Roman  |  English

Question 1: Yahan germany main khanay peenay ki kuch cheezain aisi hain jin k istemal say shayed hi koi gharr khaali ho malsan double roti waghaira inn cheezon main kuch aisay chemical daalay jatay hain jo dono tareeqon say hasil kiay jaa saktay hain yaani nabatat say bhi aur janwaron ki charbi say bhi. In ashiya ki packing par kuch likha hua nahi hota aisi soorat main kya hukm hay?
Answer: Asl ashiya main taharat hay to jab tak daleel e shara’ee say yai sabit na ho jayai k khaas iss cheez main koi najis cheez ki aamezish hay ya yai k yai cheez ban hi nahi sakti jabb tak ke kisi khaas najis cheez ki aamezish uss main na ho. In dono baatoN main say koi aik baat daleel e shara’ee say sabit hay to khaas wo shae haraam ho gi. Bay-'Ainihi khaas uss shae ka istemaal naa-jaaez ho ga aur wo naa-paak tehray gi. Aur agar daleel e shara’ee say yai sabit nahi hay mehez aik tarah ki shohrat hay jo shorat e shara’eeya nahi hay to iss soorat main uss k naa jaaez honay ka hukm nahi dia jaa sakta albatta jo hazaraat Munhaj e taqawaa par gaamzan hain unn k liay yehi hidayat hay k wo apni taqwa ki rawish par gaamzan rahain khusoosan wo log jo qaraaen e kaafiya say yai samajhtay hain aur unn ko ghalib guymaan hay k khaas falaan cheez main kisi najis cheez ki aamezish hay to uss k liay yai hukm aur ma’okkad hay k aisi cheez say wo parhaiz karain Hukm eaam iss cheez k najis jhonay ka aur napaak honay ka asal e ashiya main jo hukm taharat hay uss par nazar rakhtay huay aur Umoom e Balwa say bachnay main shadeed harj hay us kay madd e nazar, hukm e aam saray logon kay liye uss k haram aur naa jaaez aur uss k istemaal say mumaane’at ka nahi ho sakta aur jo log Munhaj e taqwaa par, taqwaa ki rawish par gaamzan hain to unn k liay yai hi hidayat hay k apni taqwaa ki rawish par gaamzan rahain aur khasoosan jin ko shubha e qawiyya hay unn ko hukm moa’kkad hay.


Download

Question 2: Yahan germanay main dawaon k capsule k khol, yaani chilkay k andar gellatin paya jata hay iss maaday ko 100% hi janwaron ki haddiyon say jin main khinzeer b shamil hay banaya jata hay iss k baaray main kya hukum hay?
Answer: Hukm to pehlay mas`alay say zahir ho gaya. Ab agar saboot e shara’ee say aur dalaael e kaafiyah say yai sabit hay to yaqeenan yai naa jaaez o haram hay aur uska istemal ashadd e haram hai, uski ijazat nahi hosaktee aur agar daleel e shara’ee say sabit nahi hay to sabeel ahle waraa aur ahle taqwaa k liay parhaiz hay aur hukm e aam uss say mumane’at ka nahi ho sakta albatta iss say bachnay ki aik soorat yai hay k dawa ko capsule say nikaal kar k khaya jayai to aam logoN ko b iss say bachna mumkin hay lehaza unn ko hidayat ki jati hay k aisi soorat main jabb k Germany waghaira main jahan masmoo’ yai hay k azaadana taur par bud-janwar ka gosht ya uss ki haddi ya naa jaaez taur par janwaron ki haddiyon ka istemaal [SHAIQ O ZAIEY ???] hay wahan par unn logon ko yai hidayat hay k wo capsule nikal kar k dawa ko istemal karaiN.


Download

Question 3: Agar jamat k dauraan mobile bajj uthta hay to kya pocket main ya jahan mobile rakha ho ussay band kar saktay hain jaisa k aap jantay hain k aaj kal ringtone amooman mauseeqi ki shakal main hotay hain to namaz ka dauran bajnay par namaz ka kya hukm hay?
Answer: Namaz par iss say koi asar nahi ho ga albatta khushoo’ o khuzoo’ par yai asar andaz hay lehaza namaz k dauran pocket main ya jahan namaz parh rahay hein wahan mobile ko on na rakehn bulkay mobile ko silent kar dain ya us ko off kar dain aur agar ittefaaqiya taur par jaib main mobile bajj gya to ishara e khafeefa say, Isharay k zaree’ay say, amal e khafeef say uss ko off kar sakta hay to uss ko off kar lay warna rehnay day agar amal e kaseer ka yai mutaqaazi hay aur agar uss ko band karnay k peechay chalay ga to iss soorat main amal e kaseer ki wajah say uss ki namaz bhi faasid ho gi.


Download

Question 4: Hazrat ne pichlay session mein farmaya k Pedaishi Nabi Chand huay. Jub k ham ne bachpan hi se suna k Har Nabi Pedaishi Nabi hota hay. Iss baaray mein kch wazahat farma dein!
Answer: Mujhay iss silsilay main jo ma’loom tha aur jo aayaat e kareema ki saraahat say maloom hay wo hazrat Eesaa alaihisalat o wassalam k baaray main tasreeh hay k ALLAH tabarak wa ta’alaa nay mujh ko nabuwwat ataa farmaee aur mujh ko haalat e bachpan main haalat e [SIBA ??] main nabi kia aur deegar anbiya e kiram k baaray main yai hukm meri daanist main nahi hay siwayai Sarwar e ambia Huzoor e Sarwar e aalam Sallallaho tabaraka wa ta’alaa alaihe wassallam, k Unn ko nabuwaat e aammaa ataa ki gaee aur saaray ambia say pehlay aap ko nabuwat ataa hui aur yai nabuwwat aap k aalam e ajsaam main tashreef laanay say pehlay aap ko ataa hui jabb k aap ki rooh jo awwal e makhlooq hay ALLAH tabaraka wa ta’alaa nay jab iss aalam e eejaad ko rooh MUHAMMADI say musharraf farmaya jabhi say Aap nabi hain aur iss par aayat e kareema

وَاِذْ اَخَذَ اللّٰہُ مِیْثَاقَ النَّبِیّنَ

jis ka tarjuma main nay pichlay session main kia tha aur muta’addid iss ma’anaa ki hadeesain jis main yai farmaya k main b nabi tha jabb k adam ka khameer b abhi tayyar nahi hua tha aur iss ma’naa par huzoor ki khasoosiyat Sarkar ki hay aur iss ma’naa par hazoor ki khasoosiyat yai hay k wo nabi bi-kulli ma’nal kalima nabi hain, who nazaarat k aetibaar say, (darr sunanay) k aetibar say b saaray aalam k Nabi hain aur saaray aalam, aalam e eejaad k iss ma’na par nabi hain k ALLAH tabaraka wa ta’alaa nay bo-wasta MUHAMMAD ur RASOOLULLLAH sallallaho tabaraka wa ta’alaa alaihe wassallama ko apnay noor say paida farmaya to martaba e wajood mae ALLAH aik aur martaba e eejaad main MUHAMMAD UR RASOOLLULLAH aik aur MUAHHAMD main aur ALLAH main koi wasta nahi hay isi liye (1st Kalimah) ALLAH k siwa koi ma’bood nahi aur MUHAMMAD ALLAH k RASOOL hain yai kalma jaisay hamara hay waisay hi agli ummaton ka hay waisay hi yai kalma ADAM say lay k EESAA tak sabb ka yahi kalma hay. Ala-Hazrat isi liye farmatay hein:

Ambia say karoon arz kyon sahibo,
kya nabi hay tumhara hamara Nabi
Jaisa sabb ka khuda aik hay waisay hi,
inn ka unn ka tumhara hamara Nabi

To (Nazarat) k aetibaar say b wo nabi haiN unn ki nabuwwat sabb ko aam hay aur aalam e eejaad k liay wo wasta haiN saaray aalam e eejaad ka. insanoN ka, jinnon ka, farishton ka, aglon ka aur pichlon k liay wo wasta hain iss ma’na par b wo RASOOL e Aam hain.

Unn ki Nubuwwat, unki Ubuwwat hai sub ko Aam
Ummul bashar, Aroos, Unhi kay Pisar ki hai --- (Ala-Hazrat)

To wo Rasoolon k RASOOL hain NABION k RASOOL hain aglon k rasool hain pichlon k rasool hain yahan takk k khud apnay Rasool hain. ALLAH Tabaraka wa Ta’alaa nay uss rooh e MUHAMMADI ko jism e MUHAMMADI jabb banaya to ALLAH tabaraka wa ta’alaa nay uss ko uss ka rasool b banaya. Meray nazdeek yehi ma’naa hay jo Mohaqqaq hay aur iss ki mazeed tehqeeq iss mauqay par nahi kar sakta. Hazrat Allama Imam TAQI ud din ibn abdul kaafi subuki rehmatullah ta’alaa alaih nay fatawa Subukia main aik risala iss k liay likha (Al Tazeem wa al-Minna) aur iss aayat k azeem nikaat aur bay shumaar fazaael zahir kiay jis ko a’laa hazrat nay (Tajalli al-Yaqeen) main unn ka zikr farmaya hay jis ko mutaala karna hay uss ka mutale’aa karay.


Download

Question 5: Presently, I am hanfi and i want to convert myself to shafai maslak so is it jayaz to do so?
Answer: Not Allowed!!


Download

Question 6: Can we use credit card? I heard an Aalim saying that when u sign the credit card application, u accept that u will pay interest if u pay money after the given time,so when u accept a haram thing (interest) then u cannot use credit card it, is not allowd! whats the fact? Hazrath pls give us ur views?
Answer: I cant elaborate this masla in this short meeting and it requires more time and more concentration and it requires to be concidered attentively however it is not advisable to have the credit card. if it is avoidable, people must avoid !!!


Download

Question 7: Aik Email ko bohat aam kia ja raha hay k Sarkar ne farmaya, Qayamat k Din Quran se Barra koi Shafee nahin hoga, Na koi Nabi na hi koi Farishta. Email mein iska koi Hawala nahin dia jata. Kya Huzoor aapki nazar se Yeh Hadees guzri hey? mazeed is ki Thowjeeh farma dein!
Answer: Muhjhay sar e dast hadees k alfaz yaad nahi hain fazael e QUR’AN main aur abhi sharh e burda ki tasjeel aur uss ki audio recording ka ittefaaq hua uss waqt fazaael QUR'AN main koi mazmoon iss qism ka main nay suna laikin yai alfaz wajib ut ta’zeer hain iss liay k QUR’AN ALLAH tabaraka wa ta’alaa ki sifat hai, aur jis tarah ALLAH tabarak wa ta’alaa ki zaat wajib ul wajood hay aur (mumtan) ut taghayur hay aur (Mumtan ul Fina) hay isi tarah uss ki har sift wajib ul wajood hay, azali hay, abadi hay. ALLAH ki zaat iss say munazza hay kay who kisi ka Shafee banay ya kisi ka Waseela banay. Isi taur per us ki sift b iss ma’na say munazza hay. Albatta yai lafz agar kisi hadees main aayaa hay to zaroor wajib ut tazeer hay. Sar e dast mujhay iss silsilay main itna hi yaad hay aur jeddah main yai sawal mujhay sunaya gya tha, mujhay mauqa nahi mila k main wo audio recording chalwa kar sun laita agar kisi mauqay par mujhay mauqa mila to iss ki mazeed tafseel kardoonga.


Download

Question 8: TV par ya Kisi Majlis mein Jub jub Sarkar Kareem Alaihi afDalus Salati wat Tasleem ka Ism-e-Girami kaha jaey, har martaba Durood Sharif parrhna wajib hoga ya Aik Majlis mein aik martaba Durood Shrif parrhna Wajib hay?
Answer: Hazrat Imam e Karkhi – ghaliban, unn ka mazhab yai hay k jabb jabb sarkar ka naam aaey, har baar sarkar par durud shareef paRhna, durud bhaijna aur salam bhaijna wajib hay aur mutaddid ahadees jin mae huzoor e sarwar e aalam sallallaho tabaraka wa ta’alaa alaihe wassallama say yai mazmoon aayaa k wo bakheel hay aur wo bad naseeb aur uss k liay doori aur mehroomi ki wa’eed aayi uss ka taqaza yehi hay k jabb jabb sarkar ka naam aayai durud shareef bhaijay ab durud shreef paRhna yai zaban say b hota hay aur dil say b hota hay. Zaban ko agar harr waqt junbish nahi day sakta hay laikin dil say durud shareef parhna, iss say koi mana’e nahi hay siwayai aadmi k ashkaal o khyalaat aur wasawis aur ghaflatein, yai maanae’ ho sakti hain aur Sarkar ka naam sunay aur dil main durud shareef na bhaijay iss say ba zahir koi manae’ nahi hay, albatta sahoolat k liay awam ki yai hukm ho sakta hay k yai hukm khaas aik majlis ka hay k uss majlis main baar baar sarkar ka naam aayai to kam say kam zaban say aik martaba durud shareef paRh lay aur dil say ghaafil na rahay aur huzoor ka jabb jabb naam aayai huzoor par durud shareef dil main bhaijay.


Download

Question 9/10: Imam Musafir hay aur Muqtadi Muqeem hay aur Muqtadi Farz Namaz parrh chuka hay aur4 rak'at wali Jama'at mein nafil ki nyyat se shamil hona chahay tou wo kitni rak'at ki Niyyat karega?
Answer: Shamil honay ki niyyat to judagana nahi hay musafir k peechay agar muqeem nay iqtada ki to hukm yehi hay k wo apni chaar paRhay ga. Do rakat uss k saath parhnay k baad ab yai baaqi teesri aur chothi hay, uss main uss ko kuch parhna nahi hay baqadr e soorah e fateha jitni dair tak parhi jati hay utni dair tak khamosh khara rahay aur badastoor ruku’ o sujood kar k aakhir main namaz apni attahiyaat waghaira parh kar k slam phair kar k poori kar lay.

Arz: Imam Qasr Parrhega aur Muqtadi Muqeem hay aur Farz parrh chuka hay tou ub Jama'at mein 4 rak'at ki niyyat se shamil hoga ya 2 rak'at ki?

Irshaad: Iss main to chaar rakat ki niyyat theek nahi iss liay k do rakat main wo munfarid ho jayai ga lehaza do rakat ki nafal ki niyyat say shareek e jamaat hojaey !!!


Download

Question 11: Islami Libaas ki wazahat farma dein. Islami Libaas se kia murad hay?
Answer: Islami libas koi specific aur mo’ayyan libas nahi hay har mulk ka aur harr jagah ka aisa libas jis main fussaaq, fujjaar aur kuffaar yahoodi, nasraani ya mushrik, majoosi uss wazaa main shareek na hon aur waza’ aisi aam na ho balkay wo libas uss jagah k sulahaa, ulama waghaira ka libas ho wo harr jagah ka islami libas hay.


Download

Question 12: Namaz mein Ayat-e-Sajda parrhi aur Sajda karna bhool gaya tou ub kia karay? Namaz lotani hogi ya alag se Sajda kar le?
Answer: Namaz lauTanay ka hukm nahi hay yai masla daikha jayai to agar uss nay ayat e sajda paRhi aur sajda karna bhool gya to ab sajda e tilawat ghair e namaz main adaa ho ga ya nahin.


Download

Question 13: Yahaan UK me log khete he kyu ke Isha ki namaaz ka waqt nahi he tho Isha ki adaa maghrib ke 1 hour 30 minutes ke baad par sakhte he. Kya ye sahi hay?
Answer: 1 ½ ghantay k baad ki harr zamanay main ta`eyun, yai baat samajh main nahi aati hay albatta iss soorat main andazay ka hukm hay. Uss hadees ki wajah say jis main huzoor e Sarwar e aalam sallallaho tabaraka wa ta’alaa alaihe wassallama ne qareeb e qayamat jab dajjal zahir ho ga aur zamana qareeb ho jayai ga yahan takk k saal ko farmaya k aik din ya iss taur par tou sahaba nay poocha k namazon k liye hum kya karain, farmaya k namazon ka andaza rakho k jin dinon main tum namazain parhtay thay unn k liay aik waqt muqarrar kar lo aur yai samajh lo k yai khaas iss namaz ka waqt hay iss taur par yahan par bhi andaza muqarrar kar k namaz parhain, ummeed hay k INSHAALLAH uss waqt main wo namaz adaa ho gi.


Download

Question 14: Kia larrka apni Mangetar se Elehdgi mein mil sakta hay ya donu sath kaheen bahir ja saktay hain aur kiya who mobile per us se baat ker sakta hai?
Answer: Alehdagi main milnay ki ijazat nahi youn hi donon ka saath jana mutlaqan harr haal main, iss ki b ijazat nahi ho sakti aur zaroori baat mamooli taur par uss ki ijazat ho sakti hay jabb k zaroorat daa’ee ho ya hajat e shadeeda ho aur wo na ho to uss say ehtiyaat behter hay.


Download

Question 15: Kia har Shakhs k liye alag Ism-e-Azam hay? Mera Naam Hamid Raza Khan hay? Meray liye Ism-e-Aazam ata farma dein?
Answer: Hamid raza khan k a’adaad nikaal kar k ya aap k yahan agar koi sahib ilm ul a’adaad nikaal kar k unn k mutabiq jo ism e azam aik ya do banay wo aap ko bata dain unn ko aap parhiye.


Download

Question 16: Jub Imam ne pehlay Salam k liye AsSalamu Alaikum wa RaHmatullah pura na kaha ho. aur koi uss waqt Jama'at mein shamil ho tou waqi'atan usay Jama'at mili ya nahin?
Answer: Jamat nahi mili namaz poori ho gaee.


Download

Question 17: What is Ilm-e-Da'wat? I heard that one needs to learn it to write the naqsh in Majmua Aamaal-e-Raza. Can Hazrat teach it? If not, is there any book available in English in which i can learn it?
Answer: Inn ko bataeeyai k namaz roza k ahkaam aur jo shariat k zaroori ahkaam hain unn ki taraf dhyaan dain aur yai aap k liay advisable nahi hay !!!


Download

Question 18: In our city there is only one hafiz and he does not keep a beard, can we perform taraaweeh namaaz behind such an Imaam?
Answer: Not allowed.


Download

Question 19: kya agar ladki walay kushee sai car ya bike shadi mai dein to usay lai sakthai hain?
Answer: Agar khushi say wo log daitay hain to iss parr kisi ka ijara nahi hay aur musalmaan apnay musalman bhai k saath koi b salook karay aur uss ko koi tohfa day, behtar hay acha hay

الھدایة لا ترد
hadiyae wapis nahi kiay jatay

aur hadees main yai b hay k

تھدا و تحب
hadiya do takey aapas main muhabbat barhay

yai behtar hay aur acha hay aur dainay walay ko b sawaab milay ga lekin iss par jabar karna jis taur say aaj kal raaej ho gya hay yai naa jaaez hay !!!


Download

Question 20: Kisi Gayr Muslim Company ya Bank mein accountant ki job karne ki ijazat hay jismei interest ka record bhi manage karna hota ho?
Answer: Company ho ya bank ya koi idara ho wo uss main jaaez naukri jaaez shart k saath jaaez hay aur naa jaaez kaam par naukri, mulazimat ya uss main koi naa jaaez shart ho, yae naa-jaaez hay aur interest ka hisaab manage karna paray ga to iss silsilay main mutlaqan adam e jawaz ka hukm nahi ho sakta albatta koi saahib bachna chaahain to unn k liay mashwara yai hi hay k bachain !!!


Download

Question 21: Aksar Auqat Barish ki wajah sey road per pani jama ho jata ha aur main office bike per jata hon jis ki wajah sey chantey per jati hain choon key kapron per mukhtilif jaga per chantey pertey hain aur hawa key sath baz o qat sokh bhi jatey hain kiun key Namaz bhi pherni hoti hai aur keprey change bhi nahi ker sakta is liyeh main unhi kepron sey namaz ada ker leta hon aur sham ko wapis gher ja ker kaprey change kerney ke bad wo tamam namazon ka I’ada kerleta hon kia yeh sahi yehi? ager yeh tareekah sahi nahi ho to barai e maherbani koi hal ataa fermaiyeh.
Answer: lauTana yai Ehtiyaat ki gharz say hay aur sarak ki keechar k cheentay agar parr jayain ya wo badan ya kapRay pe jayain, uss main wohi hukm hay amoom e balwa ki wajah say aur uss say taharruz aur ijtinaab dushwar hay naa-guzeer hay iss wajah say, aur yai k jabb takk k bay-ainhi kisi najis ki aamezish maaloom na ho uss k naa paak honay ka hukm nahi ho sakta in wajooh say namaz sahi hay aur lautanay ki zaroorat nahi hay !!!


Download

Question 22: Kia koi apnay sagay bhai ko Khoon de sakta hay?
Answer: Sagaa bhai ho ya sautela ya koi aur ho khoon aap ki milkiyat nahi na khoon aisi cheez hay jis main daina laina jaari ho yai ALLAH ki amanat hay jo aap k badn main waddiyat rakhi gaee hay hay, iss ka istemaal aur iss ko bahana raaegaan taur par kisi ko diay baghair aap khud b yai nahi kar saktay k apnay khoon ka aik qatra youn hi raaegaan baha dain, daina to aur bari baat hay iss ki ijazat nahi ho sakti.


Download

Question 23: Kisi shakhs ko paishab k qatray girnay ki takleef ho wo ahraam ki haalat main sili hui underwear pehen sakta hay?
Answer: Sili hui underwear agar pehnay ga to sadqa day ya agar wo aik peher ya do peher agar wo pehnay raha to damm day.


Download

Question 24: shohar ne apni bibi se kaha agar tu apni maa ke ghar gayi to tujhe talaq. Aurat apni maa ke ghar chali gayi to talaq hui ke nahi?
Answer: Iss soorat main jaisee talaqain iss shart par mua’llaq keen, jaisi aur jitni talqain wo waqe’ ho jayain gi aur agar youn hi kaha hay k tujhay talaq to aik talaq e raj’ee parr gaee ab iss k baad do talaq ka maalik hay jabb kabhi do talaqain day day ga aurat nikah say baahir ho jayai ga aur bay halalaa iss k liay halal na hogi.


Download

Question 25: WHEN THE MUAZZIN IS RECITING IQAAMAT, WHEN SHOULD WE STAND UP FOR SALAAH, WHEN HE SAYS, "HAY'YA ALAS-SALAAH", ORWHEN HE RECITES "QAD-QAAMATI SALAAH?"
Answer: You are commanded to stand up when moa’zzin say hayya allal falah !!!


Download

Question 26: KYA HUZOOR HUJJATUL-ISLAM (ALAIHIR RAHMA) NE KOI NAATH KITAAB PUBLISH KI HE, AUR AGAR HAN THO UNKE KITAAB KA NAAM KYA HE AUR KYA MUJHE IJAZAT HE KE MEUNKE KALAAM PARU?
Answer: Unn k kalam parhnay ki bila shubha ijazat hay huzoor e hujjat ul islam ka baishtar kalam zaya ho gya. Arabi main b main b unn ka bohat kalam tha aur urdu main b unn ki bohat saari naatia shaaeri hay laikin ab chand naatain jo QABALA E BAKHSHISH k naam say kitab meelaad khanon k paas milti hay uss main wo chand naatain huzoor e hujjat ul islam milti hain.


Download

Question 27: AUR KYA ALA HAZRAT (ALAIHIR RAHMA) KE NAAT KITAAB, HAADAIQ-E BAKHSHISH, HUZOOR MUFTI E AZAM E HIND (ALAIHIR RAHMA) KE NAATH KITAAB, SAMAAN-E-BAKHSHISH AUR HUZOOR TAAJUSH SHARIAH KE NAATH KITAAB SAFEENA-E-BAKHSHISH SENAATHIA QALAAM PARNE KI IJAZAT HAY?
Answer: Ijazat hay !!!


Download

Question 28: koi maghrib ki namaz me last rakat me shamil hoa aur usne bachi hoi do rakat me se ek rakat me alhamd ke bad surat nahin milaee aur usne sajdah sahv bhi nahin kia to kia uski namaz hogi ya nahin? jab ke woh uzer pesh karta hai ke usko maloom nahi thaa aur usne us waqta namaz nahi ada ki to kia uspar us namaz ki qazaa wajib hai ya nahin?
Answer: Namaz ka ae’yada karay namaz ho gaee !!!


Download

Question 29: Is it permissible to let the children watch cartoon movies?
Answer: Not Allowed!


Download

Question 30: Lougon mein Mash'hoor k Aurton aru Mardon par Buzurgon ki Sawari Aati hay. Iss ki kia haqeeqat hay?
Answer: Iss ki koi haqeeqat nahi hay bazurg kisi par nahi aatay haiN.


Download

Question 31: Fi Zamana Mehar kitna hona chaiye aur sonay (gold) ki surat me bhi mehar ada ho sakta hai?
Answer: Sonay ki soorat main b meher adaa ho sakta hay aur meher k liay hadees main farmaya k  "dass dirham say kam na ho" dass dirham chaandi k unn ka wazan bahar e shariat main jo iss waqt mujhay yaad nahi hay uss wazan ki chaandi ya uss ki qeemat jo rupay bantay hain uss say kamm nahi hain !!!


Download

Question 32: Hamare masjid ke imam, Doa me Shajra Shareef padhte hain. Shajra shareef ke aakhir me wo ye sher milate hain: "TU MUJHE ILMO AMAL KI TAUFEEQ DE, TAUFEEQ DE; YA ILAHI MUJH MUNEER E BENAWA KE WASTE"... Yahan ke muqtadion ko doa me "MUJH MUNEER E BENAWA KE WASTE" kahne par etraz hota hai. Muqtadion ka kahna hai ki imam sahab apne naam ko shajra me na daalen aur sirf "MUJH BENAWA KE WASTE" padhen taake muqtadion ko is par Aameen kahne me koi hichkichahat na ho. Imam sahab, doa me jo sher padhte hain uske bare me Hazrat kya farmate hain?
Answer: Aitiraaz ki koi wajah nahi hay wo khud hi uss main bay nawa kehtay hain aur muqtadi mmujh bay nawa b keh saktay hain.


Download

Question 33: Masjid me jo Qur'aan Shareef, Para set, Musalle waghera Bahut ziyada Tadad me jama ho jate hein, kya unhein Gareeb logo me Takseem kar sakte hein? [Har saal Bil Khusus Ramzanul Mubarak me log kafi Tadad me Masjidon me ye Tamaam cheesein sawaab ki niyyat se rakhte hein] Agar Gareebon mein Takseem ki jayegi to wo log ise estimaal kareinge, aur rakhne wale ko iska sawaab milega? Kya Aam Namaazi Mard/Aurat ko bhi de sakte hein ya nahi?
Answer: Yai cheezain masjid main jin logon nay rakheen ab yai masjid ki cheezain ho gaeen, aur yai masjid k auqaaf e manqoola main say ho gaeen. Ab jo cheezai masjid k laaeq k istemaal na raheen, na fil haal na fi saan il haal. Na ab istemaal ho sakti hain na near future main uss k istemaal ki koi ummeed hay, hsko wajibi qeemat par baich daina chahiyai.


Download

Question 34: witr ki Namaaz me Dua-e-qunut k baad Durood Shareef Padhna chahiye ya nahi?
Answer: parhna chahiyai aur parh saktay hain,


Download

Question 35: Tashahhud se Pahle Tasmiya padha to kia Sajda Sehv karna hoga?
Answer: Haan q k ba qadr e teen baar subhanALLAH kehnay ki miqdaar wajib main taakheer hogae aur itni taakheer sajda e sehv ki maoojib hay.


Download

Question 36: Aaj kal Akhbarat mein bohat tasaweer hoti hain. Kia inn Akhbarat ko khareedna aur parrhna aur inn ko Ghar, Masjid ya Madrisay mein rakhna theek hay?
Answer: الامور بمقاصدھا

shariat ka qaaedah hay aur yai qaaedah uss hadees say makhooz hay jis main sarkar nay farmayا

إنما الأعمال بالنيات ، وإنما لكل امرئ ما نوى ، فمن كانت هجرته إلى دنيا يصيبها أو إلى امرأة ينكحها فهجرته إلى ما هاجر إليه

Aa’maal ka aitebaar unn ki niyyaton say aur harr shakhs k liay wohi hay jo uss nay niyyat ki phir iss pr farmaya k jis ki hijrat ALLAH aur uss k RASOOL k liay hay uss ki hijrat ALLAH aur uss k RASOOL k liay hay yaani uss ki hijrat maqbool hay aur jis ki hijrat madinay ki taraf say makkay say ya kisi dar ul harb say dar ul islam ki taraf aayaa iss liay k wo kisi aurat say shadi karay ga ya maal kamayai ga to uss ki hijrat ussi taraf hay jo uss nay niyyat ki"

yahan say ulama nay yai qaaeda itibadaa kia

الامور بمقاصدھا

kaamoN main unn k maqaasid ka aitebaar hay agar maqasad acha hay to wo kaam acha hay agar maqsad bura hay to wo kaam bura hay agar maqsad haram hay to wo kaam haraam ho ga agar maqsad mustahab hay to wo kaam mustahab ho ga akhbarata main logoN ko agar ibitidaa hay aur unn ki jaaez hajataiN uss say wabasta haiN to iss soorat main jis maqsad k liay logoN nay akhbaar khareeda uss maqsad k aitebaar say uss ki khareed par hukm lagay ga agar maqsad wohi hay k unn k jaaez maqaasid pooray hoN to jaaez hay akhbaar beeni jaaez hay agar maqsad yai hay k tasaaweer ko daikhay raghbat say aur naa jaaez bay sharmi tasaaweer ko dilchaspi say daikhay to haraam o naa jaaez hay wo akhbaar k zaree’ay say ho ya album k zaree’ay say ho ya kisi aur zaree’ay say ho.


Download

Question 37: Aksar American aur British Medicines mein Alcohol ki Aamezish hoti hay. Unka Isti'mal karna kesa? kch Ulama isy Umoom-e-Balwa mein Shumar kartay hain. Hazrat ka kia mo'qaf hay?
Answer: Mutlaqan Amoom e balwa main shumaar karna jaaez nahi hay. Amoom e balwa ka matlab yai hay k common k koi cheez common ho jayai aam ho jayai yai hay amoom aur balwa k ma’nay hain museebat k amoom e balwa yai do cheezoN ki khabar daita hay aik to yai museebat hay ibtilaa hay aur doosra yai k yai museebat aam hay jis say bachna mushkil hay agar aisi soorat e aamaa harj ki paida ho jayai to uss k istemaal jaaez o mubah ho ga aur zahir hay k yai soorat e aamaa nahi hay balkay log bay parwah ho gaey hain aur haraam o halaal ki unn ko parwah nahi hay aur ilaaj hazaar jagah say ho sakta hay laikin jaldi hay k jaldi say bukhaar utar jayai aur jaldi say uss ki mamooli takleef door ho jayai harr shakhs ko jaldi paRi hui hay iss bina par inn dawaaoN ki ijazat nahi ho sakti jabb k doosri halal dawayaiN maujood haiN aur unn ko istemaal karna muyassar hay aur unn say faaedah mumkin hay balkay waqa’e hay iss soorat main yai amoom e balwa nahi hay balkay haan sachi sachi zaroorat ho ya hajat e shar’eeaa ho jis k sabab tabeeb e haziq muslim yai kehta ho k agar yai dawa istemaal na ki to jaan chali jayai gi ya marz acha nahi ho ga ya marz baRh jayai ga agar tabeeb e haziq muslim wo kehta hay aur koi halal dawa kargar nahi hay uss soorat main iss ki ijazat hay.


Download

Question 38: Kuch loog Nafil namaz ko baith kar parte hai is waja se ke Sarkar Sallallahu Taála AlaikaWasallam ne baith kr ada ki? Kya ye sahi hai?
Answer: Sahi hay laikin hadees main yai b aayaa hay k khaRay ho kar jo namaz paRhay uss ki nisbat baiTh kar namaz paRhnay walay ka sawab aadha reha jata hay lehaza hadees e qauli par amal kartay huay khaRay ho kar namaz paRhay to sunnat par b amal ho ga aur hadees e qauli k irshad k paish e nazar wo namaz paRhay ga to uss ko poora sawab b milay ga !!!


Download

Question 39: Kch loug agar unn k ghar Fotgi ho jaey tou khana wagera pakanay k liye bhi Choola nahin jalatay. Iski kch haqeeqat ya Asl hay?
Answer: Iss ki koi asal nahin.


Download

Question 40: Daanton mein jo aaj kal Taar lagaee jati hay uska kia hukm hay? Kiun k wo removable nahin hoti tou kia Wuzu ya Ghusl mein koi farq aaega?
Answer: Agar daanton main iss qism ka taar lagwana naa guzeer hay daanton ki hifazat k liay ya kisi takleef ki wajah say to ab wo taar uss uzv k qaaem muqaam ho jayai ga jis k dhonay ka hukm hay aur wuzu main to wo mutlaqan wuzu ho jayai ga iss liay k wuzu main mazmazaa sunnat e moakkada aur iss soorat main agar pooray taur par wo sunnat ada nahi hui to iss wajah say wuzu ki sehat par to koi asar nahi paRay ga wuzu ho jayai ga ab aa gaee ghusl ki baat agar ghusl uss par farz hay aur yai soorat hay k uss taar ko nikaalna muzir hay sakht uss main haraj hay sakht takleef hay to aisi sooratoN main jo cheez daantoN k andar main lagi reh jaayai to wo maane’ ghusl nahi hay aur uss say ghusl ki sehat par koi asar nahi paRta ghusl ho jayai ga.


Download

Question 41: Bank account khulwane ki jaiz aur na-jaiz amoomi soorten kia hain? Yani kin soorton main is k jawaz ka fatwa hai aur kin main na jaiz hai.
Answer: Itni gol baat ka koi hukm nahi ho sakta hay jin sahib ko jaaez o naa jaaez ko soorataiN maloom karna hay wo fatawa razaviyyah, Kifl al Faqeehil Faahim aur Ahkaam e shariat waghair bankari k masaael jahan par tafseelan byan kiay hain unn ka mutaleaa kraiN !!!!


Download

Question 42: Ager kisi bank ka malik gher-muslim ho to us main bank account khulwana kesa hai?
Answer: Bank account khulwana jaaez hay iss wajah say k wo ghair muslim hay bank account naa jaaez nahi ho ga.  


Download

Question 43: Sood kia hai? Is ki hurmat ki kia wajah hai? Koi daleel inayat farmayen.
Answer: Sood muslman aur musalman k darmyan ya muslamn aur zimni kafir k darmyan maal e masoom main hota hay to uss ki haqeeqat yai hay k shart k taur par aik rupya day kar k kahay apnay musalman bhai say ya zimni kafir say k iss k badlay do rupay looN ga to yai jo doosra rupya zyada lay raha hay yai zaati kisi iwaz k muqabil nahi aur aisi zaati jo kisi iwaz k muqabil na ho wo na jaaez o haram hay. harr wo qrz jo kisi manfa’at ko khainch kar layai wo sood hay musalmanoN k darmyan aisi mualmlat naa jaez o haram o sood hay ussi taur par yai byan ki gya shart k taur par ho aur agar inaam k taur par aap nay kisi ki madad ki aur aap nay uss ko baghair shart k qarz day dia apnay musalman bhai ko uss nay khush ho kar 100 rupay k bajayai 101 rupay wapis kar diay to yai aap k liay halal o tayyab aur khalis mubaah hay aur agar shart k taur par musalman nay yai maamla kisi kafir say kia aur ab dunia k parday par koi kafir zimmi nahi sabb harbi hay aur uss nay shart k taur par yai maamlay kia k main 10 k 20 looN ga to yai sood nahi hay iss liay k sood ki shart yai hay k maal e masoom ho aur dealing main saamnay musalmaan ho aur yahan par saamnay musalman nahihay ghair e muslim hay aur uss ka maal masoom nahi hay lehaza yai jaaez aur khaalis mubah hay aur yai hi hukm daak khanoN ka bankoN ka aur kafiroN ki companioN ka ay k unn say baghair bad ehdi k khalis unn ki raza mandi say jo kuch milay wo khalis mubah hay haaN bad ehdi yai hamaray nazdeek aur hamaray deen e islam main kafir k saath b jaaez nahin hay k uss say mua’hida kar k uss ka ehad toRa jayai lehaza agar kisi say koi cheez khareedi to yai aik mua’hida hay aur yai agreement hay aur khareednay k baad uss ko uss ko ghafil rakh kar k kisi taur par uss ki saman adaa nahi ki to wo maal uss musalman k haqq main halal nahi ho ga.


Download

Question 44: Due to illness zaid paid bakar to do hajj e badal and hajj was performed for zaid then after a few years zaid regains his health is hajj still fard on zaid or is the hajj e badal sufficient for him?
Answer: I think zaid must perform hajj in this case.


Download

Question 45: hamare gaon me eid ki namaz eidgah me budmazhab padata hai, aur yaha per koi dusra eidgah bhi nahi hai, aur hum sunni log chahte hain ke eid ke din 1 khala maidan hai usko 1 din ke liye rent per le kar waha per namaz padhna chahte hain , kya hame iss ki ijazat hai?
Answer: gaoN main iss ki ijazat nahi ho sakti iss liay k eidain aur juma’ gaoN main qaayem karna jaaez nahin.


Download

Question 46: Telephone par Nikah k ki jawaz koi soorat hay?.
Answer: Yai pehlay b poocha jaa chuka hay yai sawal mukarrar hay telephone par nikah ki soorat samajh main nahi aati. Telephone par agar laRkay aur laRki nay eejaab o qabool kar lia to yai nikah nahi ho ga yai nikah aisay hi hua jaisay k aik kamray maiN laRka aur laRki keh daiN k main nay tum say shaadi ki wo keh day k main nay qabool kia

لا نکاح الا بشھود
hadees main farmaya k "nikah sahi nahin magar gawahoN k saamnay"

aur gawahoN ki shart ki requiremant yai hay k eejaab o qabool aik majlis main ho uss k liay ittehaad e majlis zaroori hay aur gawahoN k saamnay ho aur jo gawah samajh rahay hoN k yai nikah ho raha hay agarche gawah arab hoN aur nikah karnay walay hindustani ya pakistani hoN k yai dono nikah kar rahay haiN aur unn ki maujoodgi main sahi aaqil baaligh nay eejaab o qabool kia to nikah ho jayai ga ab maslay ki taraf aayiyai k telephone main iss k sahi honay ki kya soorat hay soorat yehi hay k laRki ya laRka wakeel kara day doosri taraf k aadmi k mera nikah falaaN say kar do ya main nay tumhaiN wakeel kia k tum apna nikah mujh say kar lo wo majlis e aqd main yai keh day k falaan nay mujhay nikah ki ijazat di hay aur apni wakalat say gawahoN k saamnay wo uss ki taraf say eejaab karay aur doosra qabool karay to yai nikah ho jayai ga !!!


Download

Question 47: I have taken home loan from multinational Bank in India for which I repay bank with equal monthly installement. And i have made some saving in bank. So is zakaat applicable on my saving though there is huge loan amount pending on me? Well personally i pay zakaat for all my savings.
Answer: Agar uss ka koi share ka poora ka poora ka maal wo qarz k andar ghira hua hay aur kuch faazil nahi hay ba qadr e nisaab jis ki wo zakat adaa kar sakay to usspar zakat nahi hay aur agar yai soorat nahi hay balkay wo qarz daar hay laikin qarza adaa karnay k bad b uss ka maal ba qadre nisab baqi reh jata hay to uss par zakat hay.


Download

Dua and Names of those who entered Silsila Aaliya Qadiriyah
DUA
  • Ilm o Amal, Shariat ki Pabundi aur aur Iman par Khatimay k liye Dua.
  • Tamam Ahbab ka Salam Sarkar ki Bargah mein Pesh farma dein aur Sub k liye Sarkar ki Shafa'at ki Arz.
  • Muhammad Nisar Ashrafi par Heart Attack hua hay. ICU mein hain.
  • Abdur Razzaq Baladiya k Gurday Fail ho gaey hain.
  • Gulam Owaisi Qarani k Walid Sakht Aleel hain. Inn sub k liye Sehat ki DUA farma dein.
  • Rehana Naeem ki Jaiz Maqasid k liye DUA.
  • Naeem k Rozgar k liye DUA.
  • Madrisa Ghousiya k liye Khusoosi DUA farmaen. Iss Madrisay ko ALLAH Ta'ala Maslake-AlaHazrat ka Tarjuman banaey aur AhleSunnat ka kaam ho.

Bay'at:

  • Noor Hussain
  • Rehmat Bibi
  • Sagheer Ahmad
  • Yasir Arafat
  • Muhammd Hamid
  • Muhammad Tahir Sagheer
  • Muhammad Hussain
  • Ayesha Bibi
  • Saima
  • Siddiqa
  • Muhammad Bilal
  • Kaneez Fatima
  • Zainab Bibi
  • Maryam Bibi
  • Sobia Bibi
  • Noreen Akhtar
  • Qarrena Bibi
  • Tayyaba Bibi
  • Nasreen Bibi
  • Muhammad Basheer
  • Syeda Shaheen
  • Parveen
  • Syed Arshad Ali
  • Syed Sabir Ali
  • Syed Tahir Ali
  • Syed Aamir Ali
  • Syed Asad Ali
  • Syed Kashif Ali
  • Syed Kashan Ali
  • Syed Mu'azzam Ali
  • Fatima Bibi
  • Naila Kausar


Download

 
* Ooper likhay gaey Sawalat wa Jawabat ya Unn ki Roman Composing mein agar koi Galati hui hay tou Huzoor TajushShari'ah iss se baree hain. Choonkay ye kaam kuch loug mil kar Raza karana tour par Anjaam detay hain jis mein Galati ki Gunjaish hay. Agar aap ko koi Galati nazar aaey tou AsjadRazaKhan@Gmail.com par muttala' faramen. JazakALLAH Kher!
 


No comments: