Eid SMS - Eid Mubarak SMS - New Year SMS

Sunday, August 22, 2010

Reminder: [Sunday, August 22nd 2010 @ 2230 IST] LIVE Q/A Session with Mufti Akhtar Rida al-Qadiri

Assalamu Alaikum wa raHmatullahi  Ta'ala wa Barakaatuhu
 
This email is a reminder for the LIVE Question & Answer Session with Taajush Shari'ah Mufti Muhammad Akhtar Rida Khan al-Qadri  tomorrow (Sunday), 22nd August 2010 at 10:30pm -- 2230 IST (Indian Standard Time i.e. GMT +5:30) from Bombay Bareilly Sharif inshaALLAH over
 
You may send your Questions to AsjadRazaKhan@gmail.com ... Questions can be asked in Arabic, Urdu and English languages.

Regards,

LIVE Q/A Team
Jamiat-ur-Raza, India


فاسألوا أهل الذكر إن كنتم لا تعلمون
Tou Ae Lougon Ilm walon se poocho agar tumhain Ilm nahin

15th August 2010 (Madina Munawwarah)

Urdu  |  Roman  |  English

Question 1: Agar kisi ki namaz e Isha jamat say chooT jayai to kya wo witr wajib jamat say adaa kar sakta hay?
Answer: NahiN masla yai hay k jis nay farz jamat say paRhay isha k k wo witr ki jamat main shareek ho sakta hay aur jis nay farz isha k jamat say nahi paRhay wo witr tanha paRhay.


Download

Question 2: Agar koi umray par makka mukarrama aayai umra kar lay ab dubara jab umra karna chahay to kya hotel say ehraam baandh sakta hay?
Answer: Baandh sakta hay laikun a’la hazrat nay yai bataya hay k tan’eem jayai aur tan’eem say ehraam baadnh kar k aayai taa k nau’ e safar aik tarah k safar wo mutahqiq ho jayai ga.


Download

Question 3: Fisq aur fajoor ki tareef farmayaiN?
Answer: Fisq aur fujoor Qur’an e kareem ki istelaah maiN aur ahadees e mubaraka ki istelaah main fisq o fujoor k itlaqaat aam haiN kafir faasiq aur mubtade'e sabb ko iss ka mafhoom aam hay aur bohat jaghoN par ALLAH tabaraka wa ta’alaa nay kufr par b fisq ka ittelaaq farmaya hay aur ahadees maiN b fujoor ka ittelaaq kufr par aayaa hay ab urf e ghalib main fisq o fujoor amali ma’siyat ko, aitiqaadi ma’siyat k ilawa jo badd amali hay, iss ko fisq kehtay hain yai urf e ghalib main ab iss ka istemaal kufr k muqabil jo doosray gunaah hain unn par iss ka istemaal unn k saath khaas ho gya hay.


Download

Question 4: Kya roze may ITR aur Saar par Tel laga Saktey hay?
Answer: Laga saktay hain.


Download

Question 5: Masjid may Jab Naat khawan Naat parhta hay Tou Loug uspar Rupay ki noton ki Barish kartey hay kya iss se Masjid k Ahetaram barqarar rahega?
Answer: Masjid ka (ehtiraam) mehez iss wajah say k log naat khwaaN par rupay waghaira ki baarish kartay hain iss wajah say masjid ki bay hurmati ya uss ka ehtiraam jana yai samajh main nahi aataa hay albatta iss k saath agar shor o shaghab ho awazaiN buland hoN to yai zaroor masjid k ehtiraam k khilaaf hay albatta naat e paak k dauraan yai munasib nahi hay k log noToN ki baarish karaiN aur uss main ajeeb ajeeb tareeqay logoN nay nikaalay haiN main nay yai daikha k naat khwaaN nay naat shuru ki aur aik shakhs nay apnay paas say rupay nikaalay aur aik nay doosray k haath main doosray nay teesray k haath maiN iss tareeqay say chain bana kar k aur beech main jo log baithay huay hain unn ka halqa toR kar k log aatay hain aur jis say naat ki kaifiat main b hazal waqe’ hota hay aur naat k sun’nay main sami’een k liay b hazal waqaa’e hota hay agar uss ki khidmat hi karna hay naat khwaaN ki to yai ho sakta hay k rupay nikal kar k alag rakh daiN ya jabb wo naat paRh lay to uss ko nazrana day daiN yai na munaasib hay jis tareeqay say aaj yai riwaaj chal paRa hay masjid main agar ho ga to iss k saath kuch bay tauriyaaN aur shor o shaghab iss wajah say yai masjid k ehtiraam k khilaaf b ma’aloom hota hay.


Download

Question 6: Aik barri Aayat jesay Aayat al Kursi ya Aayat e Madaina, Agar aik rak'at mein iss mein ka baaz parrha aur doosri mein baaz tou jaiz hay jub kay har rak'at mein jitna parrha ba qadar teen aayat kay ho. Iss mein Aayat e Madaina se kia Muraad hay?
Answer: Ghaliban aayat mujhay yaad nahi aa rahi hay

يا أيها الذين آمنوا إذا تداينتم بدين إلى أجل مسمى فاكتبوه وليكتب بينكم كاتب بالعدل ولا يأب كاتب أن يكتب كما علمه الله فليكتب وليملل الذي عليه الحق وليتق الله ربه ولا يبخس منه شيئا فإن كان الذي عليه الحق سفيها أو ضعيفا أو لا يستطيع أن يمل هو فليملل وليه بالعدل واستشهدوا شهيدين من رجالكم فإن لم يكونا رجلين فرجل وامرأتان ممن ترضون من الشهداء أن تضل إحداهما فتذكر إحداهما الأخرى ولا يأب الشهداء إذا ما دعوا ولا تسأموا أن تكتبوه صغيرا أو كبيرا إلى أجله ذلكم أقسط عند الله وأقوم للشهادة وأدنى ألا ترتابوا إلا أن تكون تجارة حاضرة تديرونها بينكم فليس عليكم جناح ألا تكتبوها وأشهدوا إذا تبايعتم ولا يضار كاتب ولا شهيد وإن تفعلوا فإنه فسوق بكم واتقوا الله ويعلمكم الله والله بكل شيء عليم۔ [Surah al Baqarah : 228]

yai aayat hay.


Download

Question 7: Sonay ke Zewrat ki Zakat ka Hisaab aaj jo Zewrat ka khareednay ka Market rate hay uss se lagaya jaega ya Khaam Sonay ki Qeemat se?
Answer: Jo aaj ka bhao hay uss k hisaab say lagay ga.


Download

Question 8: Sadqa e Fitr ki miqdar aik Sa'a ka wazan 351 rupay bhar aur Nisf Sa'a ka 175 rupay athanni bhar . Fi Zaman iss ki Maaliyat kitni hogi?
Answer: Iss ki maaliyat iss waqt kuch yaad nahi hay aur ghaliban jo ishtihaar hamaray haan say nikalta hay uss main do kilo 45 gram iss ka wazan bataya gaya hay ab iss ki itni miqdaar ho ya iss k ki jo maliyat ho jo qeemat hay wo sadqa kar day.


Download

Question 9: Kch loug Jannat al Baqee Sharif mein ziarat ki garz se janay se mana kartay hain aur wajah ye batatay hain k wahan kaee quboor par ub raasta bana dia gaya hay iss liye wahan na jana chahiye. Rahnumai farmaen!
Answer: JahaN par nya raaasta nikala gya ho to fuqaha yai farmatay haiN k qabristan main jo nya rasta nikala gya hay uss main guzarna haraam hay, iss liay k qabristan Mazana e qabr hay khasoosan purana qabristan aor basaa auqaat qabraiN imtidaad e zamana say qabroN k aasaar muntariz ho jatay hain miTT jatay haiN to uss main mazmoon bi zann e ghalib yai hay k wahan par qabr ho gi ab uss main jo raasta nikala gya wo raasta nikalna jaaez nahi hay aor iss main mazmoon bi zann e ghalib yai hay k qabr par pair paRay ga agar qabrustan main janay ki soorat yai ho k qabroN ko phalaaNg kar k jata ho ya qabr par pair paRta ho to yai qat’an naa jaaez o haraam hay aisay hi jo purana qabrustan tha uss main nya raasta nikala gya uss main b mazmoon bi zann e ghalib hay iss liay fuqahaa nay mana’ farmaya jahan par aisa mazmoon hay gumaan hay wo baqi shareef ka qabrustan ho ya koi jagah ho wahan wohi hukm hay unn ka mana’ karna bajaa hay andar janay ki koi zaroorat nahi hay aadmi khaas uss hissay say k jahan par qabraiN nahi haiN aur raasta nahi nikala gya wahan par khaRay ho kar wo FATIHA aur SALAM waghaira arz kar sakta hay.


Download

Question 10: Haram-e-Kaba Sharif mein Namaz parrhtay waqt nazar Jaa-e-Sajda par honi chahiye ya Kaaba Sharif par?
Answer: Namaz paRhnay ka adab yai hi hay k khaashi’een ki tarah say namaz paRhay aur khaashi’een ki namaz yehi hay k jaa e sajda par nazar jamaa kar k wo namaz paRhay ka’baa masjood alaih hay wo jehet e sajda hay aur sajda haqeeqatan ALLAH tabaraka wa ta’alaa ko hay aur namaz ALLAH tabaraka wa ta’alaa ki ibadat hay aur namaz ka yai adab hay aur yai adab jo hay mutlaq hay iss main kisi jagah ki aur khasoosan mahal ki koi qaid nahi hay ka’bay main b namaz ka yehi adab hay jo khashi’een ki namaz jis tareeqay say paRhi jatai hay wahan b wo ussi tareeqay say paRhay ga.


Download

Question 11: ek peer sahab kahte hai ke qayamat ke din ek giroh aisa hoga jisko ALLAH TA'ALA sirf ache aamal (yani logo se bhalai karne par) ki buniyaad par jannat mein dakhil farma dega chahe woh kisi bhi mazhab ka ho. kia ye durust hay?
Answer: Yai na darust hay ! amal ki bunyaad aur uss ka mussaHeH wo IMAN hay aur iman ki jan HUZOOR SARWAR E AALAM SALLALLAHO TABARAKA WA TA’ALA ALAIHE WASSALLAMMA ki muhabbat aur wo jo kuch lay kar aayai. muhabbat ka ma’naa yai nahi hay aur hamaiN iss muhabbat main b hamm ko ALLAH tabaraka wa ta’alaa nay hamari marzi par nahi choRa balkay muhabbat ka ma’na yai hay k aadmi ki khwahish e nafs aur uss dil aur uss ki marzi sab kuch HUZOOR SARWAR E AALAM SALLALLAHO TABARAKA WA TA’ALA ALAIHE WASSALLAMMA k deen k tabe’ ho jayai Huzur nay farmaya:

لا يؤمن أحدكم حتى يكون هواه تبعا لما جئت به
Tum main say koi musalman nahi ho sakta jabb takk k uss ki hawa aur uss ki khawahish meray laayai huay deen k tabe’ na ho jaey.

to peer sahib ka y ai kehna mehez bay bunyaad hay aur logoN ko bay IMAN ban’nay ki da’wat hay.


Download

Question 12: kya peer ki ijazat k baghair mureed ko koi wazifa nahi padhna chahiye?
Answer: Wazeefay main yai hay k uss ki ijazat jo uss ka a’amil hay ya jo ma’moolaat e aamaa ka aamil hay aur wo jam’e shara’et hay aur a’alim ba a’mal aur parhaiz k sath ittebaa’ e shara’ k saath koi amal karta hay uss say uss ki ijazat laina yai ma’moolaat e mashaaekh main ma’mool hay aur iss ka faiz hota hay. Jab koi a’amil a’alim e ba a’mal bazurg ya sacha aamil uss amal ki ijazat daita hay to uss main barkat aur faiz hota hay iss ki asal jo hay wo QUR’AN e kareem ka yai qaul hay … Allah nay farmaya ….

فتلقى آدم من ربه كلمات فتاب عليه

Hazrat e ADAM alaihe issalam jab unn say khata e ijtihaadi hui koi gunaah nahi hua tha ALLAh tabaraka wa ta’ala ki hikmat e baligha nay chah k wo jannat main na rahaiN aur apnay qadoom e maimanat nazoom say dunia ko barkat dain aur dunia ko mamoon farmayaiN k unn k tashreef laanay say ambia aulia aur HUZOOR E SARWAR E AALAM SARWAR E AALAM SALLALLAHO TABARAKA WA TA’ALA ALAIHE WASSALLAMA khaas kar, tashreef laayaiN gae aur zameen unn k qadmoN say aabaad ho gi. Iss hikmat ka yai taqazaa hua k ADAMA ala nbiyyina wa alaa salaat o tasleem ab uss manzil say aur uss jagah say aap door kar diya gaey to aap ghamgeen rahay ALLAH tabaraka wa ta’alaa ki baargah main inabat jo tauba ka aik darja e a’alaa hay uss darjay par unn say kio gunaah nahi hua tha ALLAH tabaraka wa ta’alaa ki marzi chahnay k liay wo inabat kartay rahay aur tauba kartay rahay yahan takk k ALLAH tabaraka wa ta’alaa nay unn ko kuch kalimaat sikhaa diay jo unhoN nay kahay to unn ki tauba qabool hui aur unn ko mazeed e qurb hasil hua to ALLAH nay ussi ki hikayat ki hay (arabi) “ ADAM nay apnay r abb say kalimaat seekh liay to ALLAH nay unn ki tauba qabool ki ” ulama farmatay hain k koi b amal hay uss main uss ka aamil hay uss ki ijazat say agar kia jayai to uss maiN qabooliyat ki ummeed b hoti hay aur barkat b hoti hay.


Download

Question 13: Kya Aurat ke awaz mein Audio naat sharif sun shakte hai?
Answer: Aurat ki awaz b aurat hay

صوت المرأة عورت

yai fuqaha e kiraam tamam kitaboN main azaan waghaira main yai juziya maujood hay k aurat ki awaz b aurat hay lehaza aurat ko yai jaaez nahi hay k wo apni awaz ghair maharim ko sunayai iss liay uss ki awaz ka sun’na jaaez nahi hay !!!


Download

Question 14: kya hum zakath kai paisai sai quran shariff kharid kar kai masjid mai aur madrasa mai dai sakthai hain?
Answer: Zakat k paisay say QURA’N e azeem k nuskhoN ko masjid ya madrassay main daina yai baghair heela e shara’ee jaaez nahi hay aur agar iss taur par wo QURA’N k nuskhay zakat k paisay say rakhwayai to zakat adaa nahi ho gi agar kisi nay apni zakat ki raqam kisi ko di hay wo uss ka wakeel hay to wakeel k iss tasarruf say moakkal ki zakaat adaa nahi hui aur wakeel par taawaan lazim hay k utni raqam wo mawakkil ko wapis karay aur yai soorat k zakat ki raqam say heela kar lia kisi faqeer e muslim ko day dia aur uss say kaha iss raqam say falaaN naik kaam kia jayai ga maslan QURA’N e azeem k nuskhay wo khareed k masjid ya madrassay main rakhwayai jayaiN gae aur wo kahay k mujhay manzoor hay to iss taur par zakat adaa ho jayai gi aur faqeer ko uss k sawab milay ga aur jis nay uss ko iss ki talqeen ki uss ko iss ki talqeen ka aur faqeer k amal ka sawab milay ga


Download

Question 15: Saya-e jumla mashaikh ya khhuda ham par rahe.raham farma ale rahma ke waste. Iss mai Aale Rahma se kia murad hay?
Answer: Aal e ReHmaaN huzoor e mufti azam hind a’ala hazrat k choTay sahib zaday huzoor e mufti e azam hind ka laqab hay jo ghaliban khatim ul akabir hazrat abu hussain shah ahmed e noori rehmatullah e ta’alaa alaih nay unn ko dia tha aur jabb aap 6 maheenay k thay to aap tashreef laayai aur unn ko bay’et kia aur unn ko khilafat di aal e rehmaaN say hazrat e mufti azam hind muraad haiN.


Download

Question 16: Mau'tariz aur Mukhalif Aetraz kartay hain k Hazrat T.V. Video aur Tasaweer aur Inn Khurafat k Hami Afrad aur Tanzeemon k bohat Khilaf hain magar khud Hazrat hi k Khulafa aur Murideen Bagair kisi Shara'ee Uzar ya Hukoomati Dabao k TV par aatay hain ya Video wa Tasaweer banwatay hain. Hazrat unn par bhi Sarzanish farmaen!
Answer: Khud meray muta’liq to yai sawal kaha gya ALHAMDULILLAH na to main TV par aataa hooN na maiN video banwata hooN aur internet ka yai programme hay meri tasweer k baghair nashr hota hay… khulafa aur mureedeen agar yai kaam kartay hain to unn ko yai hidayat hay k wo TV par aanay say parhaiz karaiN aur video k programoN say parhaiz karaiN aur apni tasweer kashi say ijtinaab karaiN. Jaan daar ki tasweer kashi haraam ashadd e haraam hay wo koi karay mera khaleefa ho ya mera mureed ho ya meray khandan ka koi fard ho maiN uss say raazi nahi !!!


Download

Question 17: Agar hum apne marhoomeen ki qabron mai phool charhaatey hain ya qabr main pani daaltey hai tau kya isse murde ko faida pohnchta hai? Is Ama ki asl kya hai?
Answer: ÷ss amal ki asal wo hay k bukhaari main aur doosri hadees ki kitaboN main yai hadees hay k HUZOOR E SARWAR E AALAM SARWAR E AALAM SALLALLAHO TABARAKA WA TA’ALA ALAIHE WASSALLAMA do qabroN say aap ka guzar hua aur huzoor nay unn dono qabroN k baaray main yai farmaya k inn main say aik shakhs tha jo chughli khata tha logoN ki shikayat lay k jata tha aur logon ki buraaee karta tha aur bay ja chughl khori karta tha aur aik wo tha jo paishaab ki cheeNToN say nahi bachta tha bukhari main (لا يستتر من البول) yai riwayat hay k jabb wo paishab karta tha to parday ka ehtimam nahi karta tha aur iss ki parwa nahi karta tha k uss ka satr khulay aur log uss ko daikhaiN yaani kashf e aurat ka murtakib hota tha, aur aik riwayat main yai hay k (كان لا يستنزه من البول) “yai paishab ki cheeNToN say nahi bachta tha” to hazoor nay farmaya k yai donon murday apni qabr main inn ko azaab dia jaa raha hay aur kisi baRi baat main inn ka azaab nahi hay aisi baat nahi hay k jis say bachna inn k ooper dushwar tha baat to kabeera thi kabeera gunah tha laikin iss say bach saktay thay laikin iss say bachay nahi to HUZOOR E SARWAR E AALAM SARWAR E AALAM SALLALLAHO TABARAKA WA TA’ALA ALAIHE WASSALLAMA nay aik Tehni li aur uss ko aadha aadha kar dia aur aik Tehni aik qabr par laga di aur doosri Tehni doosri qabr par laga di aur farmaya k ummeed hay iss baat ki k jabb takk yai TehniaaN tarr rahaiN gi khushk na hoNgi ALLAH tabaraka wa ta’alaa unn say azab main takhfeef farma dega. aur nabi ka yai kehna ummeed hay yai hamaray tumharay kehnay k taur par nahi hay balkay uss nabi ka kehna yai khuda ka kehna hay ALLAH farmata hay (لعلكم) to wahan tawajjeeh tehqeeq k liay hay to yahan nabi ka kehna b tehqeeq k liay hay yehi nahi matlab k ummeed hi nahi balkay yaqeen hay k main nay rakh di Tehni ab inn par say azab uTh gaya.


Download

Question 18: Holland mein iss august mein Isha ka waqt raat 12 bajay hota hay. Ulama-e-Holland ne Awaamun Naas ki haalat madde nazar rakthei huwai Saahibain ke qaul ko ikhtiyaar kiya. Kya baqaa-e-sunnat (tarawieh) aur namazo ki taraf bulane kil liye (umume-balwa) saahibain k qaul ko ikhityaar kar saktay hain ya nahin?
Answer: Nahi yai bohat sakht jur’at hay aur ham hanafi haiN ham yousafi ya sha’bani nahi haiN aur hamaray nazdeek imam e azam k nazdeek waqt nahi hota hay aisay waqt main namaz paRhna k jis waqt main shakk ho k abhi daakhil nahi hua iss ki ijazat nahi hay.


Download

Question 19: Aik muqarrir sahib ne kaha k jis k paas halal khaana na ho aur wo marr raha ho aur Haram Khana available hay tou uss par farz hay k iss hadd tuk khaa lay k jaan bach jaey. Agar na khaya tou Haram Maut marega. Hazrat kia farmatay hain?
Answer: Yai to sahi baat hay agar koi halaal ghiza aisi muyassar nahi hay jiss say uss ki jaan bach sakay aur koi sha’e haraam maujood hay to jabb sachi sachi zaroorat ho k jaan janay ka andaisha ho to iss qadar k jis say Rufad e ramaq ho jayai aik luqma ya do luqma k jis k zaree’ay say uss ki jaan bach sakti hay wo uss par khana jo hay farz hay yahan par uss ko yai ikhtiyaar nahi hay na khaayai balkay agar nahi khayai ga aur jaan day day ga to iss soorat main yai khud kushi ka murtakib ho ga uss par farz hay k baqadr Sadd e ramaq apni jaan bachanay k liay jis qadr say jaan bach sakti hay wo khaa lay

الضرورات تبیح المحظورات

zarooraat jo haiN wo haram cheezoN ko mubaah kar daiti haiN aur

وما ابیح لضرورۃ یتقدر بقدرھا

zaroorat k liay mubah hay wo ussi miqdaar par rahay ga jitni miqdar ki zaroorat hay warna khwahish say khana aur hadd say zyada guzarna jaaez nahi hay.


Download

Question 20: Aik shakhs ki bohat si Qaza Namazin baqi hain. Ub wo sirf Farz Namaz parrhta hay aur Sunnaton ki Jaga Qaza-e-Umri parrhta hay. Kia aisa karna theek hay?
Answer: Theek hay uss ko yai hukm hay k takhmeena aik laga lay aisa jis main namzaiN kam na reh jayai agar baRh jayaiN to koi harj nahi hay laikin namazaiN aisi na reh jayaiN k takmeenay say baahir hoN aur wo qazaa parhnay say reh jayaiN aur unn main jis qadr mumkin ho namzoN ko jald qaza kar lay aur uss main aik takhfeef yai b hay k aur qaza namazoN ki to koi sunnat hay nahi aur yai takhfeef, agar bohat zyada namazaiN hain to sunnat e moa’kida na choRay nawafil choR sakta hay.


Download

Question 21: AlaHazrat se mutaliq kisi ne kaha k AlaHazrat ne Chaand ki Scientific Calculation ko mau'tamad kaha hay aur isi tarha Mufti Shariful Haq Amjadi Sahib k baaray mein bhi bataya k unhoun ne aisi soorat mein jub matla abar aalood ho aur chaand ki scientific report ho k aaj hi chaand hay tou wo qabil e aetimad hay. Rahnumai farmaen?
Answer: jinhoN nay a’alaa hazrat k mutaliq aisa kaha hay fatawa razvia main aik risala nahi balkay muta’adid risalay uss k khilaaf haiN aor hamaray ulama yai tasreeh farmatay haiN k hamaray nazdeek ikhtilaaf e mutale’aa mo’tabar nahi hay aur doosri baat yai k hisaab ko Allama Imam TAQI UD DIN subuki nay qata’ee bataya yai unn ka munfarid qaul hay shafa’ee hanafi koi b faqeeh fuqaha e mutaqaddimeen main unn ka iss masla main ham khyal aur mawafiq nahi hay yai khud unn ka apna aik khyaal hay a’alaa hazrat nay uss khyala ko muqarar nahi rakha balkay yai farmaya

صوموا لرؤيته ، وأفطروا لرؤيته ، فإن غبى عليكم فأكملوا عدة شعبان ثلاثين

“huzoor ay farmaya k chand daikh kar roza rakho aur chand daikh kar eid karo aur agar matla’a abr aalood ho aur chaand dikhaaee na day to sha’baan ki iddat ya sha’ban ki takeed yai ittefaaqi hay to maheenay ki iddat jo hay wo poori karo aur 30 ki ginti poori karo.


Download

Question 22: Jeddah k session main Hazrat se sawal huwa tha k "badmazhabi hadd-e-Kufr ko pohanchnay kay baray main kuch tafseel farma dein".. kia Tahir-ul-Qadri ki badmazhabi Had-e-Kufr ko pohanch chuki hai?
Answer: Tahir ul qadiri k mukhtalif byanat aur uss ki kitab firqa parasti ka khatma kion kar mumkin hay ya firq parasti ka khatma uss main bohat saray maqaalaat aur kalimaat aur ibarataiN kufria maujood haiN jin ka khulasa yai hay k uss k nazdeek sarkar nay 72 ya 73 firqoN main kisi ko nijat ka paimana nahi dia to iss taur par uss k qual say yai laazim aayaa k na ahlesunnat naaji ahi haiN aur doosray b naji nahi haiN aur yai kehta hay k jitnay firqay hain sunni aur ghair sunni unn main ta’beeri aur tashreehi ikhtilaaf hay aur baaqi sab aik hain aur uss k ilawa bohat saaray uss k kufriyat haiN deed o shuneed waghaira maiN aur doosri kitaboN main aur internet par uss k aqwaal aur aur uss actions uss k k kalimaat sab available haiN wahan say aap ja kar k inn ki ma’loomaat kar saktay hain lehaza uss ki bad mazhabi hadd e kufr takk pohanchnay maiN koi shakk nahin.


Download

Question 23: when performing gusl for janaza, can we use rubber latex gloves? and can we use soap with fragrance?
Answer: No objection to this if you wear rubber latex gloves and you can use a soap made by any islamic country. Khushboo agar hay uss main koi essence ya kisi naa paak cheez ki aamezish nahi hay aur islami kaarkhanay ka bana hua hay to uss m ain koi harj nahi hay.


Download

Question 24: I wanted to know the procedure for talaq according to the shariah?
Answer: Talaq ka to procedure yai hay k

الطلاق مرتان فإمساك بمعروف أو تسريح بإحسان

QURA’N e kareem nay saaf farmaya k “talaq jo shara’ee talaq hay jo ALLAH aur RASOOL k qanoon main talaq hay wo yai hay k aik ya do talaq sahih lafz say aisay period main jis main uss nay sohbat na ki ho day, haiz ki halat main hamal ki haalat main talaq na day aur aik talaq day, ya do talaq day ya iddat guzarnay day

فإمساك بمعروف

ab talaq dainay k baad iddat k andar agar chahta hay to aurat ko bhalaee k saath rok lay yaani raj'at kar lay zaban say keh day k main nay iss say raj'at kia iss ko apnay nikah main ya fa’el say kisi action k zaree’ay say wo apnay nikah main wapis lay lay aur mustahab yai hay k do parhaiz gaar namazioN k saamnay yai keh day k main nay apni biwi say raj'at ki usay apnay nikah main wapis lia aur agar nahi wapis karna chahta hay raj'at nahi karna chahta hay to iddat guzarnay day aur jabb iddat guzar jayai gi to aurat aazaad ho gi jis say niakh jaaez hay uss say nikah kar lay gi. teen talaq aik majlis main daina ya aik lafz main talaq daina k main nay teen talaq di ya youN kehay k main nay talaq di, main nay talaq di, main nay talaq di yai naa jaaez o gunah hay agar che day ga to talaq paR jayai gi magar aurat aisi haram ho gi k phir bay halaalaa iss k liay kabhi halaal na ho gi.


Download

Question 25: Agar kisi ko Qarz diya ho to unn paison par zakat wajib ho gi kya?
Answer: Uss par zakat hay jabb k wo qarz zinda ho yaani wo maqrooz say wo qarz lay sakta hay aur uss par shahadat aur gawah uss nay kar liay haiN aur madyoon jo hay wo uss say qarz laina aasaan hay aur wo uss say lay sakta hay agar qarz na lay iss taur par to uss main yai hay k jabb takk uss k paas raha zakat uss par saal ba saal wajib ho gi aur uss ki adaa’egi jabb wajib ho gi jabb k poora qarz ya ya ba qadr e khums e nisaab, nisaab ka paanchwaaN hissa ussay jab mil jayai ga to uss ki adaaegi uss par wajib ho gi.


Download

Question 26: Jeddah k session mein Hazrat ne farmaya tha k Aetijar k ma'ni hain Topi ka Nazar Aana. Aur Allama Amjad Ali Aazmi Sahib k Fatawa mein Aetijar k maani sar ka khula hona hay aur AlaHazrat ne bhi Fatawa Razawiyya Sharif mein yahi farmaya hay. Iski wazahat farma dein!
Answer: A’alaa hazrat nay fatwa razvia maiN kahaN yai farmaya hay uss ka hawala dijiay. Aetijaar k ma’naa yehi haiN jo main nay batayai aur Tahtavi alal Maraqi aur doosri kitaboN main aetijaar ki tafseer yehi batayi gaee hay

تكوير عمامته حول رأسه وترك وسطها مكشوفا

k aetijar yai hay k imama apnay sarr k gird lapaiT lay bass yahan say aetijar ki tareef poori ho gaee

وترك وسطها مكشوفا

k sarr k gird imama lipTay to yai uss ki tafseer hay k jabb sarr k gird imama ghumayai ga ab yai sarr ka hissa iamamay say khula reh jayai ga yaani sarr k hissay par imama nahi ho ga ab sarr k hissay par imama na hona aur gird e sarr imama lapaiT laina yehi ahtijaar hay. Tahtawi al al-Maraqi main issi liay yai farmaya k yai murad k tafseer hay jo sharah nay kaha aur uss say murad yai hay k iss ka paich jo hay beech sarr par na ho aur imamay say wo khula hua ho ab khwaa Topi sarr par ho ya Topi na ho agar Topi na ho to yai musalmanoN main raaej nahi hay musalmaanoN maiN jo sarkar k zamanay say jo imamay ki sunnat chali aa rahi hay wo ye hay k

فرق ما بیننا و بین المشرکین العمائم علی القلانس

hamaray darmiyan aur mushtikeen k darmiyan farq yai hay k hamaray imamay TopioN par hotay hain aur mushrikeen k hindu’oN waghaira k jo haiN unn k imamay wo baghair Topi k hotay hain ab agar Topi nahi hay to yai doosri karahat hay aur Topi hay aur imama gird e sarr lapaiT lia aur beech main khula raha to yahan par bhi وترك وسطها مكشوفا sadiq hay yai ahtijar k ma’ana sadiq aa rahay haiN lehaza yai karahat tehreemi hay !!!


Download

Question 27: Kia kisi Mazhabi TV Channel ko Zakat ya Fitra dia ja sakta hay? Mazeed kisi aisi Mazhabi Jama'at ya Tehreek ko Zakat ya Fitra ki Raqm di ja sakti hay jin k BadMazhabon se ta'alluqat hon?
Answer: Mazhabi TV channel , meray nazdeek to samajh maiN nahi aataa hay k kon sa TV channel mazhabi hay aur kon sa ghair e mazhabi hay aur tasweer kashi aur tasweer ki numaaesh ki jati hay uss say koi channel mazhabi nahi rehta aur koi programme mazhabi nahi rehta yai deen ko tamasha banaana hay aur zakat aur fitra waghaira, sadqat e wajiba ka masla pehlay byan ho chuka hay k uss ka masraf faqeer e muslim hay TV channel ya madarsay ya masjid ya qabristan uss ka masraf nahin hay.


Download

Question 28: Kisi aisi mazhabi jamat ya tehreek ko zakat ya fitray ki raqam di jaa sakti hay jin k badmazhaboN say ta’luqaat ho?
Answer: Zakat aur fitray ki adaaegi k silsilay main yai sawal mukarrarr hay uss ka to baar haa bata dia gya k uss ki mustahiq na koi jamat hay na koi idara hay aur na masjid hay na madarsa hay wo mazhabi ho ya wo jamat khalis mazhabi ho ya kisi bad mazhab say ho attach ho taaluq rakhti ho uss ka masraf jamat waghaira nahi hay uss ka masraf faqeer e muslim hay agar heela kar k agar wo raqam kisi ko day di gaee to zakat adaa ho jayai gi albatta yai aur baat hay k koi tehreek ya jamat jo bad mazhaboN say taaluqaat jis k haiN wo iss laaeq nahi hay k uss ki imdad aur ae’aanat aur khasoosan zar e zakat say ki jayai yai sakht bay ja hay !!


Download

Question 29: Agar syed ladki ki shadi shiekh ladke se ho jaye to kya ladki ka nasab qatam ho jayega aur wo syed ki jagah shiekh ho jayegi
Answer: Nahi iss say to nasab khatam honay ki koi baat nahi hay wo apnay nasab par rahay gi aur syed zadi ka nikah agar shiekh say kar dia aur shiekh aam taur par wo araboN main quresh khandan haiN farooqi siddiqi usmani ya ‘alavi unn main say kisi say kar di to iss soorat main arab quresh haiN wo aik doosray k kafoo haiN nikah saHiH uss wajah say wo laRki syedoN main di gaee iss bina par syed nahi ho jayai gi.


Download

Question 30: kya palang par gadde k upar namaz padh sakte hain?
Answer: Gadday k ooper namaz paRhnay k liay shart yai hay k gadda agar hard hay aur paishani sajday main jamm jayai gi to uss soorat main namaz paRh saktay hain aur namaz adaa ho jayai gi warna agar wo itna narm hay k paishaani nahi jamti hay to namaz nahi ho gi.


Download

Question 31: Agar koi palang k upar namaz padh raha ho to uske samne se guzar sakte hai ya nahin?
Answer: Saamnay say guzarnay ka yehi hay k agar uss k a’azaa jo palang par namaz paRh raha hay guzarnay walay k agar muhaazi haiN to uss soorat main agar uss ki moza e sajood jahaN takk uss ki nazar pohanchti hay khashieen ki tarah agar namaz paRhta hay to jahaN takk uss ki nazar pohanchti hay to uss hadd takk uss k saamnay say guzarna jaaez nahi hay aur agar wo zyada ooncha hay aur uss k a’azaa iss k a’azaa k muhaazi nahi haiN to guzar sakta hay.


Download

Question 32: Sonay, Chandi ya Foriegn Currency par Zakat uss ki qeemat-e-khareeb k mutabiq deni hogi ya current market value k mutabiq?
Answer: Current market k mutabiq.


Download

Question 33: Namaz-e-Janazah k liye Wuzu ki Zaroorat hay?
Answer: Wuzu behter hay aur agar namaz e janaza tayyaar hay wuzu main masroof ho ga to nahi milay gi to tayammum b kar sakta hay aur namaz e janaza main shareek ho sakta hay iss liay k namaz e janaza haqeeqatan yai namaz nahi hay balkay mayyit k liay dua hay !!!


Download

Question 34: Aallah hoo ka jo Zikr kia jata hay... Iss k kia Ma'ini hain?
Answer: ALLAH hu k zikr k kya ma’na haiN yai to ajeeb sawal hay. ALLAH ism e jalalat hay Mujtama'e sifaat e kamal ALLAH tabaraka wa ta’alaa k liay yai ism khaas hay aur haqeeqatan ya majazan yai kisi aur ko yai naam kisi aur k liay bolna aur itlaq karna yai naa jaaez hay ab iss say kya poochna chahtay hain saael meri samajh main nahi aayaa.


Download

Question 35: mein ne bachpan mein apni Chachi ka Doodh piya hay ya'ni wo meri Raza'i maa(n) hay. Kia mein Unki Beti se Shadi kar sakta hun?
Answer: Nahi iss soorat main jabb aap nay chachi ka doodh pia hay to aap ki raza’ee maaN ho gaee to uss ki beti aap ki raza’ee behen ho gaee

انہ یحرم من الرضاع مایحرم من النسب

nasabi aur khoon k rishtoN say jo rishtay haram hain wo doodh k rishaty b uss say haraam haiN.


Download

Question 36: Kia Aurat Auraton ki Jama'at karwa sakti hay aur Imam Ban sakti hay?
Answer: Naa jaaez hay , makrooh e tehreemi hay !!!


Download

Question 37: Kia Khawateen apnay Ghar pae Eidain ki Namaz parrh sakti hain?
Answer: Iss ki ijazat nahin.


Download

Question 38: Aaj kal Aetikaf k Doraan Masajid mein T.V. bhi rakha jata jis mein Mazhabi Programs chalaey jatay hain jin mein BayHayaee, BudNigahi ya Moseeqi nahin hoti tou Aetikaf mein iss ki ijazat hay aur kia Aetikaf par iss se koi farq aaega?
Answer: Naa aetikaaf maiN iss ki jazat hay aur na hi kisi aur soorat main iss ki ijazat hay aur yai deeni programme hain hi nahi deen ko tamasha banaana hay TV ka istemaal aur khasoosan masjid main yai zyada haraam aur ashadd e haraam hay.


Download

Question 39: Mein Paint (Colouring) ka kaam karta hun. Hamaray Ilaqay mein BadMazhabon ki Masjid hay aur wo chahtay hain k mein wahan Naya Paint karun aur wo mujhe usski Ujrat dengay. Kia ye meray liye Jaiz hay?
Answer: Bad mazhaboN ki masjid hay paishay k taur par to yai jaaez paisha hay laikin agar bad mazhaboN ki ujrat say aur unn ki mazdoori say unn ka mazdoor ban’nay say ehtiraaz kar sakta hay to ehtiraaz karay iss liay k bad mazhaboN say mua’milat bhi jaaez nahin hay.


Download

Question 40: Aaj kal flavour mila huwa miswaak milta hai lemon, mint wagera tou rozay ke halat me iss miswaak ka istemaal kar saktay hain?
Answer: Iss main yai hay k durr e mukhtar main farmaya kisi cheez ka rozay ki halat main chakhna makrooh hay aur yahan karahat tehreemi nahi hay tanzeehi hay yaani yai khilaaf e aula hay aur iss ka ma’aal magar iss say rozay par koi asar nahi paRay ga albatta behtar yai hay k iss say bachay !!!


Download

Question 41: Kia Ulti (Qay) aanay se Roza toot jata hay?
Answer: Agar munh bhar qay aayi aur kuch wo zabt na kar saka aur kuch uss k halaq main wapis ho gaee to roza chala gya ba shart yai k uss ko rozay daar hona yaad ho.


Download

Question 42: Kia pooray 29 ya 30 din ki taraweeh aik hi masjid mein aik hi Imam k Peechay parrhna zaroori ya mustahab ya mukhtalif masajid mein ada kar saktay hain?
Answer: Mukhtalif masajid maiN ada karnay ki kya zaroorat hay aur uss main kya hikmat aur kya maslehat hay agar aap kisi mahallay k rehnay walay hain to aap k liay aap k masjid e muhalla maiN jo taraweeh qaaem hay aur imam jame’ sharaa’et e imamat hay aur wo saHiH ul qira’at hay aur saHiH ul taHarat hay aur masaael e namaz say waqif hay aur makharij waghaira saHiH adaa karta hay to koi wajah nahi hay k choR kar k alag alag jayaiN albatta kisi zaroorat ki bina par aap gaey to mukhtalif masajid main aap paRh saktay haiN


Download

Question 43: Umrah k liye Hukumat ki taraf se Pabundi hay k 40 saal se kam single lougon ko VISA nahin milega magar loug ya tou khud kisi na kisi k jhoot mein Mehram ban kar VISA le letay hain ya group walay kisi ka jhoota mehram bana detay hain. Kia aisi soorat mein Umrah karna jaiz hoga?
Answer: Umrah jaaez hay iss say umrah k jawaz par koi asar nahi paRta albatta dhoka daina aur jhoot bolna uss ka irtikaab jaaez nahi hay.


Download

Question 44: 3-5-6 aur 10 Roza Taraweeh ka kia hukm hay?
Answer: Kam say kam 3 din main khatam hona chahiyai a’alaa hazrat nay yai farmaya aur uss main b shart yai hay k saHiH ul qiraat tasHeeH ul makharij k saath aur tajweed k saath paRhay aur saaray alfaaz shuru say lay kar aakhir tak sab masmoo’ hoN adaa hoN to yai kam say kam teen din aur 5 aur 6 aur 10 aur zyada b ho sakta hay aur yai jo logoN nay nikala hay k aik hi roz main khatam kartay hain to iss main b yai hay k agar wo itni jaldi uss nay paRha k ya’lamoon aur ta’lamoon k siwa kuch pata nahi chalta to iss soorat main uss shabeenay ka kya poocha jayai wo taraweeh aur wo namaz asalan ho gi nahin.


Download

Question 45: Our imam says recite once surah Fatiha and 3 thimes surah ikhlaas to do isaa lay sawaab and then he recites surah Fatiha and ikhlaas with loud voice . Please tell us if we should recite surah Fatiha and ikhlaas at the same time as he is reciting or should we listen to his recitation please give the answer in Urdu.
Answer: Agar imam nay yai kaha k eesaal e sawab k liay soora e FATIHA paRhiay aur teen teen martaba soora e ikhlaas paRhiay to iss soorat main agar uss nay qira’at awaz say shuru kar di to uss soorat main farz hay k uss ki qira’at ko sunaiN aur uss ki qira’at k dauraan khamosh rahaiN uss k baad aap apni qira’at uss k faarigh honay k baad aahista aahista paRh saktay haiN.


Download

Question 46: AGAR MAL PER QBZA KEA BAGER SALE KARDI TO AAMDANI HALAL HOGI YA HARAM?
Answer: Maal e bae’ ki sehat k liay k jis cheez ko baich raha hay wo uss k qabzay main ho aur ghair e maqbooz ki bae’y say hadees main mana’ farmaya gya hay aur amadani k halal ya haram honay maiN kutb e fiqah main iss ki tafseel hay jo sar e dast mujhay mustehzar nahi hay bahar e shariat waghaira ka mutaalia’ kar k ma’loom kia jayai aur agar bae’y Mab'ee uss k qabzay main nahi tha uss soorat main wo saman yehi samajh main aataa hay k wo saman uss ko naa jaaez hay jabb tak k wo uss par qabza na kara day wo saman uss ko jaaez nahi ho sakta.


Download

Question 47: Can I work with the on to whom I am engaged?
Answer: Kaam ki kya no’iyyat hay?


Download

Question 48: Can a husband and wife stay away for 2 years far away after marriage?
Answer: Husband aur wife ka alehda alehda rehna wo b saal do saal k liay agar baghair kisi majboori k hay to yai acha nahi hay aur baaz halaat main yai sakht muzir hay aur agar iss main koi hajat e shara’eya ya zaroorat hay to uss k aitibaar say hukm badal jayai ga agar wo majboor hay rehnay par maslan uss ka karobar ya rozgaar waheen par hay aur wo biwi ko apnay saath nahi rakh sakta to iss soorat main ijazat hay.


Download

Question 49: How many rakats to be offered in taraweeh namaz?
Answer: 20 Rak'ats!


Download

Question 50: Buray aur drawnay Khwabon se bachnay k liye koi Wazeefa ya Amal Inayat farmaen.
Answer: Ayat ul KURSI paRhain harr namaz k baad aur sotay waqt aur chaaroN QUL harr namaz k baad aur sotay waqt paRhain INN SHAA ALLAH bad khawabi nahin ho gi.


Download

Question 51: Mein Foriegn Exchange ka Business karna chahta hun. Iss ka tareeqa kch yun hay k mein 1000 dollar khareedunga phr jub uski qeemat barrh jaegi tou usay bech dunga jis se mujhe munafa hoga aur ye bhi ho sakta hay k uski raqam gir jaey tou nuqsan ka bhi andesha hay. Kia ye tareeqa-e-tijarat Jaiz hay?
Answer: Agar yai tareeqa aisa hay jaisa k aaj kal share waghaira khareedtay hain k share khareedta hay aadmi aur foran uss ki value kam ho jatai hay aur kabhi zero ho jati hay to yai mukhatirat bil maal aur joo’ay ki soorat hay aur yai naa jaaez hay agar iss main aisa nahi hota aur aam halaat main uss ko nafay ki ummeed hay aur uss ka maal de value nahi hoga aur waqt e zaroorat jab mauqa aayai ga munasib to uss ko wo achi qeemat par baich sakta hay to iss soorat main yai tijarat jaaez hay !!!


Download

Question 52: ek qabristan hay CHRISTIANS ka jismay 60 saalo se koi bhi dafan nahi kiya gaya uskey k bazu may MUSLMANO ka Qabristan Hay jo full ho chukka Hay kiya musalman ye christen ka qabristan kharid sakhtey hay uar musalman dafan kar sakhtey hain?
Answer: To uss ko khareed saktay hain khali jaghoN pay apnay murday dafan kar saktay hain aur jo doosri jaghoN par unn ki qabroN ki hurmat nahi hay to agar wo haddiyaaN gall saRR gaee haiN aur bilkul boseeda ho gya hay to wahan b unn ko apnay murday dafan kar saktay hain agar unn ki haDDiyaan waghaira nazar aayaiN to unn ko haTaa daiN !!!


Download

Dua and Names of those who entered Silsila Aaliya Qadiriyah
DUA
  • ABDUL RAZZAQUE QADRI, SHAHIDA BANO, LAD MUHAMMAD, MUHAMMAD ZEESHAN, MUHAMMAH HUSAIN AUR UDAIPUR K TAMAM SUNNI MUSALMANO K LIYE IMAN KI SALAMTI KI DUA AUR SARKAR MEIN INN SAB KA SALAM.
  • Wareed Khan k Walidain ki Sehat aur Umar-e-Daraz k liye Khusoosi DUA
  • My Sister Farzana Kazi is your Mureed and she is having Kidney Problem since last 2 Years. Please make DUA for her Health and speedy recovery.
  • Obaid ReHman ki Hamsheera aur Syeda Iqra Mohsin ki Sunni Sahih ul Aqeeda Rishtay k liye Dua farma dein.
  • Syed Adan Qadri k liye Halal Tayyab aur Ba Barkat Rozgar k liye DUA farma dein.
  • meri dadi ki tabiyat bahot zyada aleel hai jo u.p me hai huzur ap dua farma dein
  • Mai ek bussiness start karna chahta hoon, achi tarah se halal rozi kamane k liye dua kijiye.
  • Mein Enginner hun aur Bay Rozgar hun. Halal aur Ba Barkat Rozagra k liye DUA farma dein.
  • Meri Behan k liye Nayk Suleh Nareena Aulad k liye DUA farma dein.
  • MERI TABIYAT HAMESA KHARAB RAHETI HAI MUJE NIND BAHUT ATI HAI NAMAZ ME SUSTI BAHUT HAI BARAE KARAM KOI WAZIFA BATAYEN OR  MERE LIYE KHAS DUA KARDE  KE MERI TABIYAT ACHHI HO JAEY.
  • DUA farmaen k Walidain k Farmabardari Naseeb ho.
  • Exams mein achay Numebers se Kamyabi k liye DUA farma dein
  • Shafiq Razawi Sahib k liye Sehat ki DUA
  • Haji Abdur Raheem Khan ki Sehatyabi k liye DUA
  • MUHAMMAD KALEEM k Waalidain k liye DUA.
  • Nahid Akhtar ki Shadi k liye DUA farmaen.
  • Namaz-e-Panj Waqta ki Pabandi k liye DUA farma dein.
  • meri do behno (sisters) key liye accha sunni sahihul aqeeda ladkey mil jayein jin sey unki shaadi kar di jayey. Merey walidain is wajah sey bahut pareeshan hain.
  • Syed Amjad Faheem k liye Halal Tayyab Rozgar ki DUA farma dein.
  • Hazrat Mawlana Qazi Abdur RaHim k liye Fatiha Khwani.
Bay'at:
  • Bareerah Bakhtawar
  • Naazma Bi
  • Fatima Zohra
  • Ayesha bi
  • Sana
  • Afshan
  • Kubra Bibi
  • Syeda Iqra Mohsin
  • Muhamamd Anees Abdul Ghani
  • Irshad Ahmad
  • Abdur RaHman
  • Muhammad Yasir
  • Bisma
  • Azeema
  • Muhammad Sumair
  • Kaneez Fatima
Taalib:
  • Muhammad Saleem
  • Muhammad Bilal
  • Saira Saleem
  • Safiya Saleem
  • Aabida Saleem
  • Amjad Jawed


Download

 
* Ooper likhay gaey Sawalat wa Jawabat ya Unn ki Roman Composing mein agar koi Galati hui hay tou Huzoor TajushShari'ah iss se baree hain. Choonkay ye kaam kuch loug mil kar Raza karana tour par Anjaam detay hain jis mein Galati ki Gunjaish hay. Agar aap ko koi Galati nazar aaey tou AsjadRazaKhan@Gmail.com par muttala' faramen. JazakALLAH Kher!
 


No comments: